Thursday, April 23, 2009

shikwa of allama iqbal 3

Daur Hangama E Gulzaar Say Yaksuu Baithay
Tere Deewanay Bhi Hein Muntazir Hu Baithay!
Apnay Parwaoon Ko Phir Zauq E Khud Afroozi Day
Barq E Daireena Ko Farmaan E Jigar Soozi Day

Qaum E Aawara Aan Ta'ab Hai Phir So'ay Hijaaz
Lay Ura Bulbul E Bayper Ko Mazaaq E Parwaaz
Muztarib Baagh K Her Ghunchay Mein Hai Boo'ay Niyaaz
Tu Zara Chair To Day, Tishna E Mazraab Say Saaz
Naghmay Baytaab Hein Taaron Say Nikalnay K Liyeah
Toor Muztir Hai, Ise Aag Mein Jalnay K Liyeah

*Mushkilein Ummat E Marhoom Ki Aasan Ker Day
Mooribe Maya Ko Humdoosh E Sulmaimaan Ker Day
Jins E Nayaab Muhabbat Ko Phir Arzaan Ker Day
Hind K Dair E Nasheenon Ko Musalmaan Ker Day
Jo'ay Khoonmee Chakraaz Hasrat Deerena E Ma
Mee Tapeedna Lab E Nashtar Kar Day Seena E Ma

Bo'ay Gul Lay Gayi Bairoon E Chaman, Raaz E Chaman
Kia Qayamat Hai K Khud Phool Hein Ghammaz E Chaman
Ehd E Gul Khatm Hua, Toot
Gaya Saaz E Chaman
Urh Ga'ay Daaliyo on Say Zamzama Pardaaz E Chaman
Aik Bulbul Hai K Yeah Mehw E Tarannum Ub Tak,
Is K Seenay Mein Hai Naghmoon Ka Talatum Ub Tak

Qumryaan Shaakh Sanoobar Say Gurezaan Bhi Hoween
Pattiyan Phool Ki Jar Jar K Pareshaan Bhi Hoween
Who Purani Rawishein Baagh Ki Weeran Bhi Hoween
Daaliyan Pairhun E Bargh Say Uryaan Bhi Hoween
Qaid E Mosam Say Tabiyat Rahi Aazad Is Ki
Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Faryaad Is Ki

Lutf Marnay Mein Hai Baaqi, Na Maza Jeenay Mein
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon E Jigar Peenay Mein
Kitnay Baytaab Hein Johar Maray Aaiinay Mein
Kiss Qadr Jalway Tar aptay Hein Mere Seenay Mein
Is Guliastaan Mein Magar Daikhnay Walay He Nahi
Daagh Jo Seenay Mein Rakhtay Hoon Who Lalay He Nahi

Chaal Is Bulbul E Tanha Ki Nawasay Dil Hoon
Jaagnay Walay Isi Bang E Dara Say Dil Hoon
Ya'ni Phir Zinda Naye Ehd E Wafa Say Dil Hoon
Phir Isi Bada E Daireena K Piyasay Dil Hoon
Ajami Khum Hai To Kia, Maay To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kia, Lay To Hijazi Hai Meri

Qaum E Aawara Aan Ta'ab Hai Phir So'ay Hijaaz
Lay Ura Bulbul E Bayper Ko Mazaaq E Parwaaz
Muztarib Baagh K Her Ghunchay Mein Hai Boo'ay Niyaaz
Tu Zara Chair To Day, Tishna E Mazraab Say Saaz
Naghmay Baytaab Hein Taaron Say Nikalnay K Liyeah
Toor Muztir Hai, Ise Aag Mein Jalnay K Liyeah

Bo'ay Gul Lay Gay i Bairoon E Chaman, Raaz E Chaman
Kia Qayamat Hai K Khud Phool Hein Ghammaz E Chaman
Ehd E Gul Khatm Hua, Toot Gaya Saaz E Chaman
Urh Ga'ay Daaliyoon Say Zamzama Pardaaz E Chaman
Aik Bulbul Hai K Yeah Mehw E Tarannum Ub Tak,
Is K Seenay Mein Hai Naghmoon Ka Talatum Ub Tak

Qumryaan Shaakh Sanoobar Say Gurezaan Bhi Hoween
Pattiyan Phool Ki Jar Jar K Pareshaan Bhi Hoween
Who Purani Rawishein Baagh Ki Weeran Bhi Hoween
Daaliyan Pairhun E Bargh Say Uryaan Bhi Hoween
Qaid E Mosam Say Tabiyat Rahi Aazad Is Ki
Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Faryaad Is Ki

Lutf Marnay Mein Hai Baaqi, Na Maza Jeenay Mein
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon E Jigar Peenay Mein
Kitnay Baytaab Hein Johar Maray Aaiinay Mein
Kiss Qadr Jalway Taraptay Hein Mere Seenay Mein
Is Guliastaan Mein Magar Daikhnay Walay He Nahi
Daagh Jo Seenay Mein Rakhtay Hoon Who Lalay He Nahi

Chaal Is Bulbul E Tanha Ki Nawasay Dil Hoon
Jaagnay Walay Isi Bang E Dara Say Dil Hoon
Ya'ni Phir Zinda Naye Ehd E Wafa Say Dil Hoon
Phir Isi Bada E Daireena K Piyasay Dil Hoon
Ajami Khum Hai To Kia, Maay To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kia, Lay To Hijazi Hai Meri

No comments:

Post a Comment