Friday, April 24, 2009

kisi ko anjuman aaraiyaaN nazar aaiN

kisi ko anjuman aaraiyaaN nazar aaiN
kisi ko zaat maiN tanhaaiyaaN nazar aaiN

maiN is liye teri mehfil se louT aaya hooN
jaga jaga muje ruswaaiyaaN nazar aaiN

sama,atoN ne basarat ka roop dhaara jab
faza maiN goonjti sehnaaiyaaN nazar aaiN

wo apne aap se anjaan he raha jis ki
zamane bher se shanashaaiyaaN nazar aaiN

mere wajood pe aakhir ye kis ka pehra he?
jala charaagh tu parchaaiyaaN nazar aaiN

lagaaii aaNkh se majboriyuN ki ainak tu
bure amal maiN bhi achchaaiyaaN nazar aaiN

zameeN ke husn ka wo bhi he aik rukh babar
ufaq ke paar jo raanaaiyaaN nazar aaiN

No comments:

Post a Comment