Tuesday, April 28, 2009

wo jo daway dar hai shaher main


wo jo daway dar hai shaher main
k sabhi ka nabaz shinas hun
kabhi a k mujh se tu pochta
k main kis k gham main udas hun
ye meri kitab-e-hayat hai
isay dil ki aankh se parh zara
main warq warq tere samnay
tere rubaru tere paas hun
ye teri umeed ko kya hua
kabi tu ne ghoor nahi kiya
kisi sham tu ne kaha tu tha
teri saans hun, teri aas hun

No comments:

Post a Comment