Wednesday, April 22, 2009

shikwa of allama iqbal 1

Kiyoon Ziyaan Kaar Banoon Sood Faramoosh Rahoon?
Fikr E Farad Na Karoon, Mehw E Gham Doosh Rahoon
Nalay Bulbul K Sunoon Aur Hamatan Goosh Rahoon
Hamnawa! Mein Bhi Koi Gul Hoon K Khamoosh Rahoon?
Jurrat A Mooz Taree Tab E Sukhn, Hai Mujh Ko
Shikwa Allah Say Khakum Ba Dahan, Hai Mujh Ko

Hai Baja Shaywa E Tasleem Mein Mashoor Hein Hum
Qissa Dard Sunatay Hein K Majboor Hein Hum
Saaz Khamoosh Hein, Faryaad Say Ma'moor Mein Hum
Nalaa Aata Hai Agar Lab Pay, To Ma'zoor Hein Hum
Ay Khuda! Shikwa E Arbab O Wafa Bhi Sun Lay
Khogar E Hamd Say Thora Sa Gila Bhi Sun Lay

Thi To Mojood Azal Say He Taree Zaat Qadeem
Phool Tha Zaib E Chaman, Par Na Pareshaan Thi Shamim
Shart Insaaf Hai Ay Sahib E Altaf E Ameem
Bo E Gul Phailti Is Tarhe Jo Honti Na Nasim
Hum Ko Jamiat E Khatir Yeah Pareshaani Thi
Warna Ummat Teray Mehboob Ki Deewani Thi.

Hum Say Pehlay Tha Ajab Tairay Jahan Ka Manzar
Kaheen Mazjood Thay Pathar Kaheen Ma'bood Shajar!
Khogar E Paiker E Mehsoos Thi Insaan Ki Nazar
Manta Phir Koi Un Daikhay Khuda Ko Kiokar
Tujh Ko Maloom Hai Laita Tha Koi Naam Tera?
Quwwat E Baazo E Muslim Nai Kiya Kaam Tera!

Bus Rahay Thay Yah een Saljooq Bhi, Torani Bhi
Ehl E Chee Cheen Mein, Irani Mein Sasani Bhi
Isi Ma'moor Mein Aabad Thay Yonani Bhi
Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi Thay Nasrani Bhi
Per Tairay Naam Per Talwaar Uthaii Kiss Nai?
Baat Jo Bigri Howi Thi, Wo Banaii Kiss Nai?

Thay Hameen Aik Teray Ma'ar K Aaraoon Mein
Khushkiyoon Mein K abhi Lartay, Kabhi Daryaaon Mein
Dee Azanein Kabhi Europe K Kaleesaoon Mein
Kabhi Afreeqa K Taptay Hoay Sehraon Mein
Shaan Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahandaaron Ki
Kalima Parhtay Thay Hum Chaaon Mein Talwaaron Ki

Hum Jo Jeetay Thay, To Jangoon Ki Musibat K Liyeah
Aur Martay Thay Teray Naam Ki Azmat K Liyeah
Thi Na Kuch Zani Apni Hakomat K Liyeah
Sir Bakaf Phirtaythey Kia Dehr Mein Dolat K Liyeah
Qaum Apni Jozaro Maal Jahan Per Marti
But Farooshi K Iwaz But Shikni Kiyoon Karti!

Tal Na Sakay Thay, Agar Jang Mein Urh Jatay Thay
Paoon Shairoon K Bhi Maidaan Say Ukhar Jatay Thay
Tujh Say Sirkash Howa Koi, To Bigar Jatay Thay
Taigh Kia Cheez Hai? Hum Toap Say Lar Jatay Thay
Naqsh Toheed Ka Her Dil Pay Bithaya Hum Nai
Zeer E Khanjar Bhi Yeah Paighaam Sunaya Hum Nai

Tu He Keh Day K Ukhara Dar Khyber Kiss Nai
Shehr E Qaiser Ka Jo Tha Is Ko Kiya Sir Kiss Nai?
Toray Makhlooq Khudaoon K Paiker Kiss Nai?
Kaat Ker Rakh Diyeah Kuffar K Lashkar Kiss Nai?
Kiss Nai Thanda Kia Aatish Kada E
Iran Ko?
Kiss Nai Phir Zinda Kia Tazkara E Yazdaan Ko?

Kaun Si Qaum Faqat Teri Talabgaar Howi?
Aur Teray Liyeah Zehmat Kash E Paiker Howi?
Kiss Ki Shamsheer Jahangir, Jahandad Howi?
Kiss Ki Takbeer Say Dunya Teri Baidaar Howi?
Kiss Ki Haibat Say Sanam Sehmay Hoay Rehtay Thay
Moun K Bal Girtay Ho Allah Ho Ahad Kehtay Thay

Agaya Yain Larai Mein Agay Waqt E Namaaz
Qibla Ro Ho K Zameen Boos Hoee Qaum E Hijaaz
Aik He Sif Mein Kharay Ho Ga'ay Mehmood O Ayaaz
No Koi Banda Raha Na Koi Banda Nawaaz
Bunda O Sahib O Muhtaaj O Ghani Aik Hoay
Teri Sarkaar Mein Pohchay To Sab He Aik Hoay

Mehfil E Kon O Makaan Mein Sehr O Shaam Phiray
Maye Tauheed Ko Lay Ker Saft E Jaam Hoay
Koh Mein, Dasht Mein Lay Ker Tera Paighaam Phiray
Aur Maa'loom Hay Tujh Ko Kabhi Nakaam Phiray

No comments:

Post a Comment