nazar jab tum se milti hai
main khud ko bhool jata hun
bas ik dharkan dharakti hai
main khud ko bhool jata hun
tumhen milnay say pehlay main
bohat sajta sanwarta hun
magar jab tum sanwarti ho
main khud ko bhool jata hun
tum gum hoti ho sochon mein
main takta he tou rehta hun
jo tum pehlu badalti ho
main khud ko bhool jata hun
main aksar he ye kahta hun
main tum say pyar karta hon
magar jab tum ye kahtee ho
main DUNIYA bhool jata hun
Monday, April 20, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment