Har baar mujhe Zakhm-e-judai na dia kar
agar tu maira nahin to mujhe dikhai na dia kar
sach jhoot tairi ankh say ho jata hai zahir
qasmain na utha, itni safai na dia kar
Maloom hai ab tu rahta hai mujhsay guraizan
PAAS A KAY ZINDAGI KI DUAIN NA DIA KAR
ur jatay hain prinday to wapis nahi atay
har baar prindon ko rihai na dia kar
Monday, April 20, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment