Monday, April 20, 2009

bohat he muddat k baad kal jab

bohat he muddat k baad kal jab
kitabay maazi ko mai nay khola
bohat say chehray nazar mein utray
bohat say naamo par dil paseeja
ik aisa safha bhi us mein aaya
likha hua tha jo aansuon say
kay jis ka unwaan hamsafar tha
jo safha sab say he motabar tha
kuch aur ansoo phir us pay tapkay
phir us say aagay mai parh na paya
kitabay mazi ko band kar k
tumhari yaadon mein kho gaya mai
agar tu milta tou kaisa hota
inhein khayalon mein so gaya mai

No comments:

Post a Comment