Thursday, April 30, 2009

toot kar zara dekho,

toot kar zara dekho,

tum agar bikhar jao,

bay basi may ghir jao,

dil say ik sada dena,

bus mujay bula lena,

may tumhe sumbha longa,

zindagi may chalnay ka,

rasta badalnay ka,

ik hunar sikha donga,

tumko hosla donga,

or jab,

sambhal jao,

roshni may dhal jao,

mujko yun sila dena,

tum mujay bhula dena………..

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee

nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

[GHALIB]

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa

waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[Mirza Asad Ullah Khan Ghalib]

Wednesday, April 29, 2009

gawara b nahi ha

hasrat to the
tere ankhon ka aanso
ban jayon faraz



par to roye
y hum ko
gawara b nahi ha

wo itne ache hain k kabi khafa nai hote......

jo rehte han dil ma wo juda nai hote
kuch ehsaas lafzon ma bayan nai hote

eik hasrat ha unhan manane k
wo itne ache hain k kabi khafa nai hote......

us k yad ka naasha karte karte........

ab usay roz na soochon to badan tootta ha a GALIB
umar guzari ha us k yad ka naasha karte karte........

lamhat gina karta tha..

us k dehlez p sadyon s khara hon faraz
mugh s milne ko jo lamhat gina karta tha....

bicharna kaisa?

hijar k mosam mein y barish ka barasna kaisa?
ik sehra s samandar ka guzarna kaisa?

ae mere dil na pareshan ho tanha ho kar
wo tere sath chala kab tha???bicharna kaisa?

log kehte han gulshan k tabahi dekho
main to veeran sa jangal tha ujarna kaisa??

dekhne mein to koi dard nahi koi dukh bhi nahi
phir aankhon m yun ashkon ka ubharna kaisa?

bewafa kehne k jurrat b na karna..
us n iqrar kya kab tha??mokarna kaisa???

pyar nibhaney wala

dar o dewaar s hasrat s barasti hy faraz
jany kis dais m chala gaya pyar nibhaney wala

kuch b nai ???

teri wafa
wafa jana

kya mere mohabbat
kuch b nai ???

tera dard
dard thera

kya mera
dard kuch b nai????

tumhare bat
pathar p lakeer

kya mere iltigah
kuch b nai??

tum m ana
samadar jaisi

kya mera man
kuch b nai??

tera gham
gham hoa

kya mere ansoo
kuch b nai??

tera wajood
sub kuch jana

kya mere hasti
kuch b nai??

kuch b nai ???

teri wafa
wafa jana

kya mere mohabbat
kuch b nai ???

tera dard
dard thera

kya mera
dard kuch b nai????

tumhare bat
pathar p lakeer

kya mere iltigah
kuch b nai??

tum m ana
samadar jaisi

kya mera man
kuch b nai??

tera gham
gham hoa

kya mere ansoo
kuch b nai??

tera wajood
sub kuch jana

kya mere hasti
kuch b nai??

mere ibadaton ka sawab to

meri zindagi k kitaab to
mere har sawal ka jawab to


main tugy parhon ga tumam umar
mere hayaat ka nisaab to

mere har dua tere lye
mere ibadaton ka sawab to

main n kaha k y b chahne k eik ada ha

log kehte hain tera dost bewafa ha
main n kaha itni bewafa kisi m nai

log kehte han tugy yad tak nai karta
main n kaha k y b chahne k eik ada ha

umar sare chahye us ko bholne k lye

wo ba-zair to mila tha eik lamhe ko faraz
umar sare chahye us ko bholne k lye
yehi soch kar us ki har baat ko such mana ha faraz
kay itne khoobsorat lub jhoot kasey bolen g

toot kar na bikhar jayo to mera nam badal dena

ik lafz mohabbat ha ise kar k dekho tum
babaad na ho jayo to mera nam badal dena

ik lafz muqaddar ha is s lar k dekho tum
haar na jayop to mera nam badal dena

ik lafz wafa ha zamany main nai milta
kahin s dhoond kar lao to mera nam badal dena

ik lafz aanso ha ise dil m chupa kar dekho tum
aankhon s na beh gaya to mera nam badal dena

ik lafz judai ha isay seh k dekho tum
toot kar na bikhar jayo to mera nam badal dena

mugh m reh kar mugh s h parda karte ho

meri saanso s tum shikva karte ho
chup chup k chahat ka souda karte ho

tum h socho y kase mujbori ha
mugh m reh kar mugh s h parda karte ho

guzar jate han mere muskarane s pehle

mere khushi k lamhay mukhtasir han is qadar FARAZ
guzar jate han mere muskarane s pehle

tera nam likha jata ha....

alfaaz k shakal m ahsas likha jata hy
kabi kabi pani k pyas likha jata ha


mere jazbat s waqif ha mera qalam
mai pyar likhon to tera nam likha jata ha....

GALIB

tu vo zalim jo dil m reh kar b mera na ban saka GALIB
aur dil vo kafit jo mugh m reh kar b tera ho gaya......

aaj waqt guzarta ha zindagi bitane m

wo yaron ki mehfil wo muskarate pal
dil s juda nahi apna beeta hoa kal


kabi zindagi guzarti thewaqt bitane m
aaj waqt guzarta ha zindagi bitane m

har nai sakdey

teri dosti da mull asi taar nai sakday
to mangy jan tay kar inkar nai saday


maia k zindagi lende imtehan barey
pat to hovay naal t asi har nai sakdey

tugy manga ha

main n har roz dua m tugy manga ha
hon bewafa magar wafa s tugy manga ha

kabi sajde m ja k pooch apne rab s
main ne kis kis ada s tugy manga ha

benam zindagi k haqiqat na pochiye faraz

benam zindagi k haqiqat na pochiye faraz
kuch pur-khuloos log the barbaad kar gaye.....

chorr dya tasbeh ko is khayal s SAGHAR

chorr dya tasbeh ko is khayal s SAGHAR
kya gin gin k na lena us ka jo by hisaab deta ha......

Tuesday, April 28, 2009

main aaya tere sheher.......


main aaya tere sheher main nah shafqat meli mujhko
nah meli mohabbat sirf nafrat meli mujhko
main aaya is ommed pe tha ke khosh hongey sub
mujhey kiya khabar thi ke thokar meley gi mujhko
meri bebasi ka yeh tamasha dekh rahe hai zamaaney waley
zulm tu kiya he kiya zakham bhi diye mujhko
main aaya tere sheher nah shafqat meli mujhko
aaya armaano ki dooli tere aangan main tha
tu nah meli teri bewafaai meli mujhko

kuch is ada se aaj wo pehlu-nasheen rahe..

kuch is ada se aaj wo pehlu-nasheen rahe..
jab tak hamare paas rahe..hum nahin rahe..

ya rab kisi k raaz-e-muhabbat ki khair ho..
dast-e-junoon rahe na rahe.. aasteein rahe...

dard-e-gamein firaq k ye sakht marhale..
hairan hun main ki phir bhi tum itne haseen rahe...

ja aur koi zakht ki duniya talaash kar....
ai ishq hum to ab tere ...quabil nahin rahe..

alllah ri chasm-e-yaar ki mojis bayaniyaan..
har ek ko hai gumaan ki makhatib humeein rahe...

is ishq ki talaaf ye maafat dekhna...
rone ki hasrateein hain jab aansu nahin rahe...

Ae moj-e-hawa ab to hu bata wo dost humra kesa hai

Ae moj-e-hawa ab to hu bata wo dost humra kesa hai
jo bhol gaya humko kab se wo jan se pyara kesa hai

kia us ke jewan lamhon mein koi lahma mera baki hai
kia us ki jagti ankhon mein meri yaad se pehle udassi hai

kia wo be meri terha yunhi shab bhar jaga karta hai
kia wo be saat-e-rehmat mein humein Rab se manga karta hai

ager aisa nahi to tuhi bata hum yaad usay kion karte hein
wo hum se bichar kar khush hai ager tu hum pal pal kion marte hein

Ae moj-e-hawa ab to hu bata wo dost humra kesa hai

aaj to be-sabab udaas hai jii

aaj to be-sabab udaas hai jii

aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii

chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii

ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii

aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii

ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii

tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii

teri chahaton ka.......


teri chahaton ka sehraa sajaya hai
tujhko paake apna dilbar banaya hai
tujh bin yeh zindagi adhoori hai sajan
apney aashiyaan ka tujhey mehmaan banaya hai
shama se hai roshan parwaanon ki mehfil
tujhey zindagi ka chiragh banaya hai
meri jostujo to meri aarzo hai
to he to hai har soo tera he saya hai
teri chahaton ka sehra sajaya hai

Udaas shamoon ki siskion mai

Udaas shamoon ki siskion mai
Khabhi jo meri awaz sunna
Tu beete lamho ko yad kar k
Inhi fizao mai lout ana
Tum aya karte the khwaab ban kar
Khabhi mehekte the gulab ban kar
Main khushk honton se jab pukaro
Inhi adaon mai laout ana
Meri wafa ka pass rakhna
Mai khali hatho ko jab uthao
Meri duaon mai laut ana

Lafzoon Se Aag Lagana,Phool Khilana

Lafzoon Se Aag Lagana,Phool Khilana
Mein Janta Hoon
Harfoon Se Mehal Banana, Shehar Sajana
Mujhey Bhi Ata Hai
Fikron Se Jazbey Chalkana, Raaz Batana
Meri Dastaras Mein Hai
Jazboon Ko Hawa Dena Aur Sula Deney Ka
Mujehy Hunar Ata Hai, Mager Mujhey
Kachey Mehal Bana Ke , Jhootey Shehar Basana
Bin Khushbo Ke Phool Khilana
Bin Hiddat Ke Aag Lagana
Kisi Ke Jazbey Pamaal Karna
Muhabbaton Ke Raaz De Ker Mukkar Jana
Acha Nahi Lagta!

Ye jo khawahishon k hain silsile

Ye jo khawahishon k hain silsile
Ye ajeeb tarz k hain silsile
Yhan manzilain hain qadam qadam
Yhan justaju hai nafas nafas
Kae manzilon tak pohanch gae
Kae raste main hi kho gae
Kae ho gae hain shikastapaa
Kae thak k raah main so gaye
Kae zindagi k suragh main
Kae moat k bujhte charagh main
Dhund rahe hain wohi manzilain
Jahan pohanch kar woh ja millain
Unhi khwahishon se jo mil gaen
Unhi aarzoon se jo na mil sakeen
Yhan aik baat hai mushtrik
Wo jo mil gae,woh jo na mile
wo jo pa gae ,woh jo kho gae
sabhi khwhishon k aseer hain
Sabhi manzilon k rahgeer hain
Sabhi zindagi ki justaju main
Hain moat ki jaanib Rawa’n Dawa’n
Har shay yahan hain dhuan dhuan
Jo kal huwa ya na huwa
Magar khwahishon k yeh silsile
Rahain ge aise hi DambaDam

JUDAI

JUDAI
Suno! JUDAI moat hoti hai,
kabhi fursat milay tau dekhna patton ka girna tum,
k jab ye shajr sey gir ker zmeen per aan partay hain,
tau kaisay ronday jatay hain

Thitharti raat k khamosh lamhon mein,
kisi by'bas akeli ba'wafa larki ki,
kabhi tum siskiyan sun'na

Kahin qitar sey bicharti hoi konjon k nohey per nigah karna,
k kaisay aik doujay ki judai per, tarap ker bain karti hain,

Kabhi rukhsat k lamhon mein kisi ki aankh sey
lurhaktay huay aansu ko dekho gey,
tau shayed jan jao gey,
JUDAI maut hoti hai

Abhi tum ne MOHABBAT k barastey beeghtey mausam nhe dekhey,
abhi tum titliyon k rang mut'hhi main chupatey ho,
abhi tum muskratey ho,

SUNO! kabhi jo zindagi ne ajnabi veraan rahon per
tumhari ye hansi cheeni,
tau phir aansu bahao gey,
tum itna jan jao gey,

"JUDAI MOUT HOTI HAI"

Ho raat akeli pichley pehar,

Ho raat akeli pichley pehar,
Or chand aangan main aajaye,
Tum chand ki manind tanha ho!,
Yeh bat tumhen tarpa jaye,
Kuch khuwab saja kar aankhon pey,
Tum chand se bataien kar lena!,
Ham yad tumhen bhi kartey hain,
Tum yad hamaien bhi kar lena,
Jab bat na ho esey hi,
Nam aankh tumhari ho jaye,
Tum bat kahen pey kartey ho,
Dil or kahen pey khoo jaye,
Jazbat k aesey aalam main,
Muskan labon pey bhar lena,
Hem yad tumhen bhi kartey hain,
Tum yad hamaien bhi kar lena..............!!

usay main ne hi likhha tha

usay main ne hi likhha tha

ke lahjay barf ho jayen
to phir pighla nahi kerte
parinday dar ke urr jayen
to phir lauta nahi kertay

usay main ne likhha thha

yaqeen ik bar uth jaye
kabhi wapas nahi aata
hawaaon ka koi toofan
kabhi barish nahi laata

usay main ne likha thha

jo sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi paata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi paata

usay kehna

wo bey-maani adhura khhat
usay main ne hi likha thha

usay kehna ke deewaanay mukammal khat nahi likhtay!!

Ye zara zara si bat par,

Ye zara zara si bat par,
Tarhan tarhan k azab kiyon?,
Jo kisis se bhi khafa na ho,
Mujhey us 'KHUDA' ki talash hai,

Mujhey laghzishon pe har ghari,
Koi tokta hai bar bar?,
Jisey kar k dil ko dukh na ho,
mujhey us 'GUNAH' ki talash hai,

Bina hamsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahe?,
Jahan koi kisi se juda na ho,
Mujhey us 'RAAHH' ki talash hai,

Mujhey dekh kar ji aik nazar,
Mere sare dard samajh sakey!!
Jo is qadar ho chara-gar,
Mujhey us 'NIGAH' ki talash hai..........

kal chaudhavii n kii raat thii

kal chaudhavii n kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa
kuchh ne kahaa ye chaa.Nd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa

ham bhii vahii.n maujuud the ham se bhii sab puuchhaa kiye
ham ha.Ns diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa

is shahar me.n kis se mile.n ham se to chhuuTii mahafile.n
har shaKhs teraa naam le har shaKhs diivaanaa teraa

kuuche ko tere chho.D kar jogii hii ban jaaye.n magar
jangal tere parbat tere bastii terii saharaa teraa

ham aur rasm-e-bandagii aashuftagii uftaadagii
ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn-e-beparvaa teraa

do ashk jaane kis liye palko.n pe aa kar Tik gaye
altaaf kii baarish terii ikraam kaa dariyaa teraa

ai bedaareG-o-be_amaa.N ham ne kabhii kii hai fuGaa.N
ham ko terii vahashat sahii ham ko sahii saudaa teraa

tuu bevafaa tuu maharabaa.N ham aur tujh se bad-gumaa.N
ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuu.N Thaharaa teraa

ham par ye saKhtii kii nazar ham hai.n faqiir-e-rah_guzar
rastaa kabhii rokaa teraa daaman kabhii thaamaa teraa

haa.N haa.N terii suurat hasii.n lekin tuu aisaa bhii nahii.n
is shaKhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa

beshak usii kaa dosh hai kahataa nahii.n Khaamosh hai
tuu aap kar aisii davaa biimaar ho achchhaa teraa

bedard sunanii ho to chal kahataa hai kyaa achchhii Gazal
aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa "Inshaa" teraa

uluu-e-shams-e-mufaaraqat hai

uluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
puranii kirane.n naye makaano.n ke aa.Ngano.n me.n laraz rahii hai.n
fasiil-e-shahar-e-vafa ke rozan chamakate zarro.n se bhar ga_ii hai.n
gaye dino.n ke aziz baate.n nigar subahe.n gulab raate.n
bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiite.n hazaar maate.n
judaa_iyo.n kii havaaye.n lamho.n kii Khush maTTii u.Daa rahii hai.n
ga_ii ruto.n kaa malaal kab tak
chalo ke shaaKhe.n to TuuTatii hai.n
chalo ke qabro.n pe Khuun rone se
apanii aa.Nkhe.n hii phuuTatii hai.n
ye mo.D vo hai jahaa.N se mere tumhaare raste badal gaye hai.n
puraanii raaho.n ko lauTanaa bhii hamaarii qatadiir me.n nahii.n
ke raaste bhii hamaare qadamo.n ke saath aage nikal gaye hai.n

tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
tum apanii aa.Nkho.n me.n jhil_milaate huye sitaaro.n ko maut de do
ga_ii ruto.n ke tamaam phuulo.n tamaam Khaaro.n ko maut de do
naye safar ko hayaat baKhsho
ke pichhalii raaho.n pe sabt jitane nuquush-e-paa hai.n
vo baar ho.nge
havaa u/Daaye ke tum u.Daao

wahan sahilon ki rait py

wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
wahan haath meray bandhay huway mera badba'n chida huwa

gayee sa'aton ki talash main mera harf harf bikhar giya
kahin teray nam ka shair bhi,meri bayaz-e-jan pay likha huwa

meri poor poor pay titliyan,kai rang chor k ja chukin
teray zikar ka koi phool tha,meray ratjagon main khila huwa

usay rait rait main khojna usay lehr lehr main dhoondna
koi shehad sa tera ehad tha,inhi sahilon pay likha hwuwa


nay mausmon k khraam bhi nay lams raas na a sakay
main yah aitraaf kahan karon,tera mu'atbar tha kaha huwa


kisi mor naach ka rung bhi teri aankh ko na lubha saka
koi zard zrad sa khwab tha,teri putlion main kkhuda huwa

Muhabbat Jeet hoti hai Magar yeh Haar* jaati hai...



Kabhi dilsoz Lamhon sey,
Kabhi bekaar Rsmon sey,
Kabhi Taqdeer* Walon sey,
Kabhi Majboor Kasamon sey,
Kabhi yeh khawab hoti hai,
Kabhi Baitaab hoti hai,
Kabhi yeh Gar jaati hai,
Kabhi yeh Mar jaati hai,

Muhabbat Jeet hoti hai, magar yeh Haar* jati hai..

Kabhi masroor kerti hai,
Kabhi yeh Sog deti hai,
Kisi ka chain hoti hai,
Kisi ko Rog* deti hai,
Kisi ke Aankh main humdum kahin ek baar jati hai,
Jahan tazleel ho iss ki wahan her baar jaati hai !...

-> TUM AAO TO HAM BHI EID KARIEN <-


.
Hasrat hai tumhari deed karien,
Tum aao to ham bhi eid karien,
Kuch der to dil ko chain miley,
Kuch roz to man ka phool khiley,
Kehtey hain EID ki aamad hai,
Ham log bhi kuch taaieed karien,
Tum aao to ham bhi eid karien......

Tum sey aik guzarish hai,
Yeh apne dil ki khuwahish hai,
Ik bar milo,
Ik bar milo.......
Har bar yehi takeed karien,
Tum aao to ham bhi eid karien.......

Mana k ham diwaaney hain,
Sab baton sey anjaney hain,
Jab apney hi beganey hain,
kiya gheron sey ummed karien,
.
TUM AAO TO HAM BHI EID KARIEN................

Tumhein jab maine kareeb se dekha,

Tumhein jab maine kareeb se dekha,
to aisa laga ki koi masoom si pari,
mere saamne aakar baith gayi ho or dil,
kehta gaya ki tere bare mein kya kahun,
teri aankhon me itni gehraaie jhalki,
laga inme dono jahaan doob sakte hain,
tere hoont kuchh youn jhalak rahe the,
jaise saavan ki pehli barsaat me phool,
ki pankhudiyan muskura kar khil jati hain,
bilkul aisi tere honton ki muskaan hai,
tere zulfoon k liye kehne ko lucky k paas,
koi alfaaz hi nahi hain....
jaane kahan se aayi hai
jaise koi pyaara sa timtimata sitaara hai tu,
jaane kyon lagta hai ki humaara
bas humaara hi hai tu..

Karoo Tu Kis Liye Akhir Karo Malal Uss Ka

Karoo Tu Kis Liye Akhir Karo Malal Uss Ka
Usse Nahi Tu Mujhey Bhi Nahi Khayal Uss Ka

Her Ek Room Mere Wasty Bemani Hai
K Bass Chukka Hai Mere Ankhoo Main Jamal Uss Ka

Mere Wafa Nay Banaya Hai Bewafa Uss Ko
kisi Adda Main Nahi Hai Koi Kamal Uss Ka

Mere Naseeb Ki Yeh Bhi Tu Khush Naseebi Hai
K Mujh Ko Dekh Kay Sab Pochty Hai Haal Uss Ka

Yahi Dua Main Karoo Har Baras Kay Pahly Din
Mere Bager Na Guzry Koi Bhi Saal Uss Ka

Mere Urooj Ko Uss Kay Naseeb Main Likh De
Khuda-E Pak ! Mujhey Sonp De Zawal Uss Ka

Shab-E Faraq Kisi Roz Dhal Hi Jaye Gee
Khuda Se Har Ghadri Manga Karoo Wisaal Uss Ka

Khushi Kay Naam Se Anye Laga Hai Khuf Uss Ko
Dukhoo Nay Jab Se Kiya Hai Badan Nidhaal Us ka ....

wo jo daway dar hai shaher main


wo jo daway dar hai shaher main
k sabhi ka nabaz shinas hun
kabhi a k mujh se tu pochta
k main kis k gham main udas hun
ye meri kitab-e-hayat hai
isay dil ki aankh se parh zara
main warq warq tere samnay
tere rubaru tere paas hun
ye teri umeed ko kya hua
kabi tu ne ghoor nahi kiya
kisi sham tu ne kaha tu tha
teri saans hun, teri aas hun

Usay roktey bhi tou kis liye ?




Usay roktay bhi tou kaise..
Wo jo sher-e-dil tha ujar gaya
Wo jo khawab tha bikhar gaya
khabhi mausamoon ki nazar lagi
Khabhi wahmoon nay dara dia
Khabhi manziloon kay siraab nay
Khabhi raastey mein dagha dia
Khabhi zingadi ki kitab sai
Humein jis nay chaha mita dia
Bus isi liye ...

Wo jo ja raha tha tou dour tuk
Isay daikhtey hi rahey magar
Nahi di sada ...
Usay roktey bhi tou kis liye ?
Usay roktey bhi tou kis liye ?

Tumhary baad sapnay ban rahi hai

Tumhary baad sapnay ban rahi hai
Udasi raakh se kia chunn rahi hai

Zara ahaista bool aay yaad e yaran
Meri tanhai saab kuh sunrahi hai

Tumhary kaarb ki purkaif laay per
Meri Dharkan abhi sar dhunn rahi hai

HUMARE SAATH CHALO

HUMARE SAATH CHALO


KUCH DOOUR HUMARE SAATH CHALO
HUM DIL KI KAHANI KEH DEY GE

SAMJHE NA TUM JISSY AANKHOO SE
WO BAAT ZUBANI KEH DY GE

PHOOLOO KI TARHA JUB HONTOO PER
EK SHOOKH TABBASUM BHIKER JAYE

DHERE SE TUMHARE KAANOO MAI
EK BAAT PURANI KEH DY GE

IZHAR E WAFA TUM KYA JANO
HUM ZIKR KARE GE GAIROO KA

OR APNI KAHANI KEH DY GE
KUCH DOOUR HUMARE SAATH CHALO......

Guzaarish...!




Mohabbat fax ho sakti to ker daita...
Judaaii ka fasaana bhi kahan e-mail hota hay...
Kahaan zakhm-e-jigar is may samaaey ga...
Na telephone per ashkon ko koi daikh paaey ga...
Masheenain jo kuchal daiti hain jazbon ki shabaahat ko...
Bayaan kaisay karain gi derd ki na-gufta samaaat ko...
Masheen per haal-e-dil kehnay ka kyun israar kertay ho...
Muqaddas raaz kyun uryaan sar-e-bazaar kertay ho...!

Tummm....!




Tum jis khuwaab may aankhain kholo..
Us ka roop amar..
Tum jis rang ka kapra peho..
Woh mausam ka rang..
Tum jis phool ko hans k daikho..
Kabhi na woh murjhaye..
Tum jis harf pay ungli rakhh do..
Woh raushan ho jaye..!

Dhaikho aisa nahi kartay

Dhaikho aisa nahi kartay
Kabhi aisa nahi kehtay
usay bhi ho gee majboori
houngay koi masahil bhi
jo lamhay tum pay beetay hein
wo bhaari houn gaiy oss pay bhi
dhaikho aisa nahi kartay
wo jo dil mein bassay houn
un ko youn ruswa nahi kartay
Jo khud tootay houn unsay
buhat rootha nahi kartay
Muhaabt ka koi izhar
lab pay laiya nahi kartay
suno tum aisa kar laina
wo jab loat aaiey tu
ussay ek mouqa day daina..
jo uss kay dil pay beeti ho
ussay kuch dair sun laina..
ussay ek baar sunn lainaaa!!!!

Maira tamaam fun, mairi kaavish, maira riyaaz...




Maira tamaam fun, mairi kaavish, maira riyaaz...
Ik na-tamaam geet k misray hain jin k beech...
Ma'ani ka rabt hay na kisi qaafiyay ka mail...
Anjaam jis ka tay na hua ik aisa khail...
Maira mata bas yehi jaadu hay ishq ka...
Seekha hay jis ko mai'n nay barri mushkilon k saath...
Khulta naheen hay kuch k haqeeqat may kya hay yeh...
Taqdeer ki ata hay ya koi sazaa hay yeh...
Kis say kahain aey jaan k yeh qissa ajeeb hay...
Kehnay ko yoon to ishq ka jaadu hay mairay paas...
Per mairay dil k waastay itna hay is ka baujhh...
Seenay say ik pahaarr hat'ta naheen hay yeh...
Laikin asar k baab may halka hay is qadar...
Tujhh pay ager chalaaon to chalta naheen hay yeh...!

Dhaikho aisa nahi kartay

Dhaikho aisa nahi kartay
Kabhi aisa nahi kehtay
usay bhi ho gee majboori
houngay koi masahil bhi
jo lamhay tum pay beetay hein
wo bhaari houn gaiy oss pay bhi
dhaikho aisa nahi kartay
wo jo dil mein bassay houn
un ko youn ruswa nahi kartay
Jo khud tootay houn unsay
buhat rootha nahi kartay
Muhaabt ka koi izhar
lab pay laiya nahi kartay
suno tum aisa kar laina
wo jab loat aaiey tu
ussay ek mouqa day daina..
jo uss kay dil pay beeti ho
ussay kuch dair sun laina..
ussay ek baar sunn lainaaa!!!!

Honton say chuloo tum


Mera geet amar kar doo
Hoton say chuloo tum
Mera geet amar kar doo
Ban jaoo meet mere
Meri preet amar kar doo
Honton say chuloo tum
Mera geet amar kar doo........

Na umer ki sima hooo
Na janam ka ho bandhan
Na umer ki sima hoooo
Na janam ka ho bandhan
Jab pyar karay koi
Tou dekhay cavel mann
Nayiii reet chala kar tum
Yeh reet amar kar doo
Nayii reet chala kar tum
Yeh reet amar kar doo.....

bohat se khuwab dekhe hain


bohat se khuwab dekhe hain
kabhi sheroon mei dhalain gay
tere chehra tarashain gay
koi surat nikalin gay
abhi to pao k neche zameen mehsus hoti hai
jahan ye khatm ho ay gi
wahin ham ghar bana lain gay
yehi hai na tumhe hamse bichar janay kijaldi hai
kabi milna tumharay maslay ka hal niklain gay


........


Suno...

mujhe tum dua detay ho na
k Khuda tUmhain hamesha khush rakhy
jaha b rakhy
jis k b sath rakhy
par najanay kyou
is akhri jumlay par mujhe
bad-dua ka gumaan hota hai...

Apna Aap..




Ajj wo mudadat bad aai
bas yeh kehne
jaana
meray saare khat lota do
sab tasveerain kaLAM kitabain
wapis kardo saare tohfe
mujh se sab kuch magne wali
jatay jatay
meray kamre ki chokat par
chur gayi hai
"APNA AAP"

Barish

Barish

Barish....tu na aya kar
ke tere jane ke baad..
koi bohot deir thak yaad ata hai....

..........
Wasl

Furqatoon ki Andhioon main,
WasL ho ga Hadsa......
Mil gaya Wo Shakhs to,
Nayyab ho jayen ga HUM.....

.........
Chrah-gar

Azeyaton k tamaam nashter
maire ragoon main utaar ker wo
bari muhabbat say poochta hai
"Tumhari aankoon ko kya hua hai"

...........

Dabay paoon hawa jin kay chiraghoon say bhelti ho
Mujhay aisay gharoon ki khirkiyan achi nahi lagti

Yeh khe kar ajj uss say bhi talouk toor aya hoon
Meri jaan mujhay ziddi larkiyan achi nahi lagti....

SAATH CHALNAY WAALAY JAB

SAATH CHALNAY WAALAY JAB

SAATH CHHORR JAATY HAIN

WAQT THAM NAHIN JAATA

KOI MAR NAHIN JAATA

KOI MAR BHI JA'AY TO

ZINDAGI NAHIN RUKTI

RAASTON KO CHALNA HAY

RAASTAY TO CHALTAY HAIN

YAAR DOST MILTAY HAIN

ZAKHM AISAY SILTAY HAIN

GARD GARD LAMHON MAIN

UMR KAT HI JAATI HAY

KUCHH MUSAFIRON KO BAS

MANZILAIN NAHIN MILTEEN

Meri saadgi mera jurm hai

Meri saadgi mera jurm hai
Koi aur mere khata nahe
Yahan chahton ka sila nahi
Yahan dosti ka maza nahi
Yahan janey kaisi hawa chali
Rahi doston mein wafa nahi
Yahan jal gya mera aashiyan
Abhi badlon ko pata nahi
Tere dar pe dastak de sakon
Ye haq tu ne mujhe diya nahi
Mai rahi hon rah-e-umeed ka
Bebas hon jahan mein is terhan
Jaise mera koi nahi
Meri Saadgi mera jurm hai
Koi aur mere khata nahi

Na chahat ke jazbaat alag...

Na chahat ke jazbaat alag...
Na khushiyon ke lamhaat alag..
Na phool se thi mehkaar alag..
Na guzri koi baat alag..
Na honton ki muskaan alag..
Na dil ke ehad-o-pehmaan alag..
Na deen alag emaan alag
na sur,sangeet nagmat alag..
Thi sari baat lakeeron ki..
TERE HAATH ALAG MERE HAATH ALAG...!!

Tum bin...!



Sard rawaiyya...
Uljhha lehja...
Khhoii aankhain...
Thanday haathh...
Bay-rang chehra...
Bad-Akhlaaq...
Daikho...!
Tum bin...
Kya hoon main............!!!

Majboori....!!



Itni Qurbat or aisi tanhai...
kitni sabr azma ye khalwat hy
paish qadmi ko g to chahta hy..
bus ye soch rok leti hy
tu kisi or ki Amanat hy.....

Sajda....!!



Wo ek sajda jo tere hathon ki narm chokhat pE..
Hont rakh kr ada kia thA..
Main uss ki shiddat ko sochta hooN..
Tou kanp uthta hooN..
Tu agarchaE..
Khuda nahI..
Dewta tou hotA..
K tujhko sajda rawa tou hotA..!

Be-Wafa....!!



Shab ki tanhai mn
gham ki dahleez pr baithi
mn soch rahe hun k
jb tm ne mere hathon ko chua tha to muskura k
kaha tha "tmharay hath kitnay garam hn"
janti ho "garam hath wafa ke alamat hotay hn"
ye sb sun kr mn itna khush hui k baqi har baat bhool gai
aj mujhe yad arha hy k "us k hath kitnay sard thy"

Teri Yaad




Zehan ke khyalon main..
Rooh ke
Ujalon main...
Zindagi ki
Jheelon main...
Zaat ke
faseelon main...
Rattjagon ke daman main...
Khuwahishon ke..
angan main...
Dil ke khushk
sehra main...
Chashm-e-tar ke...
Darya main...
Dard ke jahan...
main bhi...
Ashk-e-bezuban
main bhi...
Aur kuch...
Nahi rehta...
Teri Yaad
rehti hai...

Kabhi yaad aye to puchna zara apni Khalwat-e-Shaam se

Kabhi yaad aye to puchna zara apni Khalwat-e-Shaam se
kisy Ishq tha tere Zaat se, kisy Pyar tha tere Naam se

Zara yaad karo k wo kon tha?jo kabhi tjhay b aziz tha
Wo jo jee utha tere naam se,wo jo mar mita tere naam se

Hamain berukhi ka nahe gila,k yehe wafaon ka hy sila
magr aisa jurm tha konsa?? gaye ham Dua-o-Salam se..

Na kabhi Visaal ki Chah ki,na kabhi Firaaq mn Aah ki
k mera tareeqa-e-nabdige,hy juda tareeqa-e-Aam se

Raat k kisi lamhay jab tumhari yaad aaye

Raat k kisi lamhay jab tumhari yaad aaye

To batao mujhko min ky karun??

Tumhe meethi neend se jaga doon?

Ya tumhare seenay pe sir rakh doon?

Tumhari gehri band aankhon ko kholoon

Or un mein samaa jaun

Ya tumhe bina ankhein jhapkay dekhti jaun

K kahin ye khwaab toot na jaaye

K tumhara saath chhoot na jaaye

Suno...

Mujhe tumhare saath guzara ek lamha bhi bhulana gawara nahi'

Suno...

Utho or ek baar mujhe aankh bhar k dekho

Or mujhko kaho k

"TUM SIRF MERE HO"

mujh se kya poochte ho zindagi ke baare mein


ajnabi kya bataye ajnabi ke baare mein

arz sirf itna hai dosti ke baare mein
admi galat samjha admi ke baare mein

gair ko bura keh doon gair to nahi aisa
aap hi se shikwa hai aap hi ke baare mein

bewafa kaha mujh ko apne ne baja lekin
Is tarah nahi kehte har kisi ke baare mein

Kabhi jo ehsas ho tum ko...



Kabhi jo ehsas ho tum ko...
k tum acha nahi kertay !
jo muj ko youn rultay hoo !
lahoo mera jalatay hoo...
aghar iss AAG ma jal kr main..
Ek din rakh raakh hoo jaoon....!
mujy Dil sey bhula deyna ..
Samandar min bha dena ...

Magr yah yaad rakhna TUM !

KHUDA ...se ya dua kerna ..

k jo acha lagay tum ko !
WO TUM JESA NA HO HARGIZ ...!!!

shahar ke beech jo dariyaa dikhaayee deta hai;

shahar ke beech jo dariyaa dikhaayee deta hai;
wo sookh jaaye to tanhaa dikhaayee deta hai.
tumhaari party hai yun to shaandaar magar;
...harek shakhs akelaa dikhaayee deta hai.
diye the zakhm jo logon ne.. bhar gaye shaayad;
mareez aajkal achchhaa dikhaayee deta hai!
badi adaa se chhupaataa hai durdashaa ghar ki;
tumhein jo taat ka pardaa dikhaayee deta hai.
kabhi jo chaand pe budhiyaa dikhaayee deti thi;
wahaan pe aajkal dhabba dikhaayee deta hai.
main uske saamne rakhta hoon bheed shabdon ki..
..wo be-zubaan tadapta dikhaayee deta hai...........

*******Khi k Khoobsoorat Mosam k naam*******


Barishon m Mosam main
Rooh ki fizaon main
Gham-zada hawain hain
Be-sabab udasi hy
Is ajeeb mosam mn
Be-qarar raton ki
Be-shumar batain hain
Un-ginat fasanay hain
Jo both khamoshe se
Dil pe sahtay phirtay hain
Or ba-amar majboore
Sab se kahtay phirtay hain
Aj Mosam acha hy
Aj ham bohat khush hain….

........

KAl halki halki barish the
Kal sard hawa ka raqs bhe tha
Kal phool b nikhray nikhray thy
Kal un main aap ka aqs bhe tha
Kal badal kalay gahray thy
Kal Chand pe lakhon pahray thy
Kuch tukray aap ki yadon k
Bari dair se Dil mn tharay thy
Kal Yaad Boht aap aye thy
Kal Yaad Both aap aye thy

.......

Barishon k mosam main
Tum KO yaad krne ki
Adatain purani hain
Ab ki baar socha hy
“Adatain Badal Dalain”
Phir khyal aya k
Adatain badalne se
Barishain nahe rukte…

.......

Aaj jab Hui Barsih
Ye bhe AiK Khyal aya
Kion Na aik Badal KO
Razdaan banaun main
Jo bhe mujh pe guzri hy
Us KO sab bataun main
Phir tmharay Dil pe Woh
Aaj he Baras jaye…..

.......

Mien q usko phone karoon??
USS kay bhi too
Ilm mien hoo ga
Kal shab Mosam ke
Pahli Barish thi…..

…….

Pairon ki Mehndi mn ne
Kis mushkil se churai the
Aur phir bairan Khushboo ki
Kese kese binti ki the..
“Piyari Dheerauy Bol”
Bhara ghar jag uthay ga
Lakin jab us k anay ki ghari hui
Subha se aisi jhari lage
Umar mn pahli bar mujhe
Barish ache nahe lage…..

Irada



Main ne Socha hy
Ab ki bar Mohabbat
Poori mansooba-bande se karne chahiye
Bholpan mn ki hui Mohabbat ne
Jo Jo kuch Dil k sath kia hy
Aur jo jo kuch nahe kia hy
Ab Haq to yehe hy k,sab kuch dohraya na jaye
Ho sakta hy….!!!
Poori mansooba-bande k sath ki hui Mohabbat
Masoomiyat se ki hui Mohabbat se
Kam Dukh denay wali ho…..

Sari Dunya Thi Meray Janazay Kay Peechay...,

Sari Dunya Thi Meray Janazay Kay Peechay...,
Sirf Wohe Na Tha Meray Janazay Kay Peechay...,
Vo Hota Bhi Kaisay Meray Janazay Kay Peechay...,
Us Ka Tha Janaza Meray Janazay Kay Peechay

Duniya Waloo Tumari Duniya Main

Duniya Waloo Tumari Duniya Main
Yun Guzari Hay Zindagi Hum Ny
Har Qadam Par Freeb Khaya Hay
Lutiy Dekhi Hay Har Khushi Hum Ny
Phool Ki Na Aarzo Ka Khila
Jab Khushi Ka Kahen Pata Na Mila
Apni Tanhaiyon Sy Gahbra Kar
Ghum Sy Kar Li Hay Dosti Hum Ny
Jooth Ko Sach Main Dhaal Lety Hain
Loog Matlab Nikaal Lety Hain
Aisa Lagta Hay Jasey Duniya Main
Jina Sekha Naheen Abhi Hum Ny.....!!!

Chalo ab Faisla karlo....!!!



Chalo ab fasa kar lo
K jo apni Mohabbat the
Nasha tha jo jawani ka
Khumar utra to ye jana
Mohabbat yun nahe hote

Jo mn ne khuwab dekhay thy
Ab un ki kirchiyan to hain
Or zakhmi paon hain meray
Tmharay ham-qadam chalna
Mjhe mumkin nahe lagta

Tmharay or mere darmiyan
Koi dewaar hy shayad
Jo ab gir nahe sakte
Tmhain wo log piyaray hn
Jo mjh ko zehar lagtay hain
Mjhe tm ab bhi piyaray ho

Magar ab mor aisa hy
Jahan itnay mukhalif hon
Tmhain ye to pata hoga
Mukhalif simt chalnay se
Kabhi manzil nahe milti

To phr q waqt khotay ho
Chalo ab faisla karolo......!!!

KITNE HASTE LAMHE!!

Kitnay Hastay Lamhay
Ghum mein dooB gaey..
Muskan Thi Jin laBo pe
kuch der pehly..
Musakaran BhooL gaey
Ye PaL mein mere shehron KO kia huwa..
Ye Lamhon mein kia felsay Ho gaey??
Jin makanO mein hasi gonjti thi..
Jahan ChehahaTi thi zindagi..
Ab Q honay Lagay Matam Wahan..
Dukh he Dukh hai..
Hasi hai na zindaGi ka koi nishan..
Azeat mein hain Log mere shehr K..
Ankhon mein hai karb Na kabl-e-byan..
Ab dena hai sans lenay ka jurmana yahan..
Mere Khuda Ye kia muQader Ho gaey..??
Mere shehr Ujar gaey..
Mere Log Mar gaey..
Itna Roay hain BeGunah LAsho pe..
K ansoo b KhushK ho gaey......!!

MAIN LARKI HOON AAM C!!!!!!!!

MAIN LARKI HOON AAM C!!!!!!!!

IK KAHANI NATAMMAM C.

NA LEHJA BEMISAL HA.

NA BAAT MY KAMAL HA.

HOON DEKHNY MY AAM C.

UDASION KE SHAM C.

JAISY IK RAAZ HOON.

NA MEH JABENOON SA RBT HA.

NA SHUHRATOON KA ZBT HA.

SOHNI NA HEER HOON.

MAIN PAKER-E-IKHLAS HOON.

WAFA, DUA OR AAS HOON.

TUM HI KRO FAISLA!!!!!!

MAIN LARKI HOON AAM C.

YA PHR BHT HE "KHAS" HOON!!!!

"TUM KHAFA KYUN HO?"

"TUM KHAFA KYUN HO?"

Tumhen Mujse gila kya hy.??

Achanak
be rukhi itni.

Batao to hua kya hy.??

Manaaun kis tarah tum ko.??

Mujhy itna to
batla do.

Agar ab ho saky tum se.

To ye ahsan farma do.

Meri manzil mohabat hy..

Mujhy manzil pe pohncha do..

Tumhari aankh men aansu..
Mujhy achy nhi lagty..

Tumhary narm honton pe..
"Gily achy nhi lagty"..

Tumhary muskurany se..

Mera dil muskurata hy..

Tumhary rooth jany se..

Mera dil toot jata hai

teri chahat nay diya sukoon itna

teri chahat nay diya sukoon itna
k teray baad koi acha na lagay
tujhay karni hai bewafaai tou is ada say kar
k teray baad koi bewafa na lagay

Friday, April 24, 2009

Yani tarteeb_e_mohabbat ka saleeka usay b ata tha . .

Yani tarteeb_e_mohabbat ka saleeka usay b ata tha . . .
Usne pathar b mara mujhe pagal kar k. . . .

sham-e-firaQ ab kay na pooch, aayi aur aa kay tull gayee

sham-e-firaQ ab kay na pooch, aayi aur aa kay tull gayee
diL tha kay phir behel gya, jaan thi kay phir sinbhal gayee

bazm-e-khiyal main tere husn ki shamain jal gayeen
dard ka chand bujh gya. hijer ki raat dhull gayee

jab tujhay yaad ker liya, subah mehk mehk gayee
jab tera gham jaga liya, raat machal machal gayee

diL se to her maamla ker kay chalay thay saaf hum
kehnay main unkay samnay baat badal badal gayee

aakhir gayee kis jaga saba, subah kidher nikal gayee!!!!

نہ کوئی حرفِ ملامت نہ کوئی خیر کی بات

نہ کوئی حرفِ ملامت نہ کوئی خیر کی بات
یہ زیست اب نہ کسی کی بھی زیر بار رہی

یہ اور بات کہ دل غم میں خود کفیل ہوا
مگر وہ آنکھ مرے غم میں اشکبار رہی

rasm-e-ulfat sikhaa gaya koi

rasm-e-ulfat sikhaa gaya koi
dil ki duniya pay chaa gaya koi

taa qayaamat kisi tarah na bujhay
aag aisi laga gaya koi

dil ki duniya ujaarr si kyoun hai
kyaa yahan say chala gaya koi

waqt-e-rukhsat galay laga ker "Daag"
hanstay hanstay rula gaya koi

Usko chaha b to izhar na karna aya

Usko chaha b to izhar na karna aya
kat gai umr hame pyar na karna aya
usne manga b agr kch to judai mangi
or ek hm tha k inkar na karna aya

haath usnay meray khoon se tar kar liye akhir

haath usnay meray khoon se tar kar liye akhir
khuwahish thi usay rang e hina taiz bohoth ho

sama,atoN ne basarat ka roop dhaara jab

samaatoN ne basarat ka roop dhaara jab
faza maiN goonjti sehnaaiyaaN nazar aaiN

wo apne aap se anjaan he raha jis ki
zamane bher se shanashaaiyaaN nazar aaiN

kisi ko anjuman aaraiyaaN nazar aaiN

kisi ko anjuman aaraiyaaN nazar aaiN
kisi ko zaat maiN tanhaaiyaaN nazar aaiN

maiN is liye teri mehfil se louT aaya hooN
jaga jaga muje ruswaaiyaaN nazar aaiN

sama,atoN ne basarat ka roop dhaara jab
faza maiN goonjti sehnaaiyaaN nazar aaiN

wo apne aap se anjaan he raha jis ki
zamane bher se shanashaaiyaaN nazar aaiN

mere wajood pe aakhir ye kis ka pehra he?
jala charaagh tu parchaaiyaaN nazar aaiN

lagaaii aaNkh se majboriyuN ki ainak tu
bure amal maiN bhi achchaaiyaaN nazar aaiN

zameeN ke husn ka wo bhi he aik rukh babar
ufaq ke paar jo raanaaiyaaN nazar aaiN

i miss u



Zraa sa faisla kerna...!


Zraa sa faisla kerna...!



Barra dushwaar hota hay..

Zraa sa faisla kerna...

K zindagi ki Kahaani ko...

Bayaan-e-bazabani ko...

Kahaa'n say yaad rakhna hay...

Kahaa'n say bhool jana hay...

Kisay kitna bataana hay...

Kis say kitna chhupaana hay...

Kahaa'n ha'ns ha'ns k rona hay...

Kahaa'n ro ro ka has'naa hay...

Kahaa'n awaaz daini hay...

Kahaa'n khaamosh rehna hay...

Kahaa'n rastaa badlna hay...

Kahaa'n say lout aana hay...

Barra dushwaar hota hay...

Zra sa fisala kerna....!!

intizar


Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chorr gaya raah may mujhe
May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha

Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao kay yeh kaisa Pyaar tha

Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paayi may
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Gungunaate Hue Aanchal Ki Hawa De Muj Ko,

Gungunaate Hue Aanchal Ki Hawa De Muj Ko,
Unglian Pher K Baalon Mein Sula De Muj Ko,
Jis Trha Pare Rehte Hain Faaltoo Guldaan,
Usi Trha Ghar K Kisi Kone Se Laga De Muj Ko,
Yaad Kr K Muje Takleef Hoti To Ho Gi,
Ek Kissa Hun Purana Sa Bhula De Muj Ko,
Doobte Doobte Aawaz Teri Sun Jaaun,
Aakhri Baar Tu Saahil Se Sadaa De Muj Ko,
Me Tere Hijar Mein Chup Chaap Na Mar Jaaun Kheen,
Me Hun Sakte Mein Kabi Aa K Rula De Muj Ko,
Dekh Me Ho Gaya Hun Badnaam Kitaabon Ki Trha,
Meri Tashheer Na Kr Ab To Jala De Muj Ko,
Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai,
Aese Naraz Na Ho Hans K Dikha De Muj Ko,
Aur Kuch B Nhi Maanga Mere Maalik Tuj Se,
Us Ki Galion Mein Pari Khaak Bana De Muj Ko,
Log Kehte Hain Ye Ishq Nigal Jata Hai,
Me B Is Aag Mein Aaya Hun Dua De Muj Ko,
Yyehi Aukaat Hai Meri Tere Jeevan Mein K Me,
Koi Kamzor Sa Lamhaa Hun Bhula De Muj Ko.

Mohabbat

Mohabbat

TUM KESI MOHABBAT KERTE HE

Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jahan pe beth ke jaate ho
Jis cheez ko haath lagate ho
Main wahin pe betha rehta hoon
Us cheez ko choota rehta hoon

Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jis se hans ker milte ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis raaste per chalte ho
Main us raaste per aata jaata hoon

Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Kuch khuwab saja ker ankhon main
Palkon se moti chunta hoon
tum se milne julne ke
Kitne hi bahane rakhta hoon

Main aisi Mohabbat karta hoon
Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Kaisay Wo Lout Aaye K Fursat usay Nahin

Kaisay Wo Lout Aaye K Fursat usay Nahin
Dunia Samjh Rahi hay Mohabbat Usay Nahin

Lagta Hay Aa Chuki Hay Kami Uski Chaah Main
Kaafi Dino Say Mujhsay Shikayat Usay nahin

Dil Ki Zameen uski Banjar Hay Isi Leay
Jazbon Ki Barishon Ki aadat Jo Usay Nahin

har Cheez Ikhtiyaar Main Rakhta Hay Wo Magar
Dil Say Rihaai Panay Pay Qudrat Usay Nahin

manzilain b uss ki thi

manzilain b uss ki thi
rastaa b uss ka tha
aik mey akelaa tha
kafilaa b us ka tha
saath saatyh chalney ki soch b us ki thi
phir rasta badlney ka fasla b us ka tha
aj kyoo akelaa ho
dil sawal karta hey
loog tu us key thay
kia khuda b us ka tha !

Meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...

Meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...
ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...
baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...
mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...
regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...
Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

Tumhari ankhei'n kehti hai'n hisaar-e-zaat se niklo

Tumhari ankhei'n kehti hai'n hisaar-e-zaat se niklo
Tamanna meri bann jao shab-e-berbaad se niklo
Kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do'purani yaad se niklo
Khayal-e-yaar acha hai mager jis ne wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-feryad se niklo
Nahi koi mohabbat bhi,hijar rutt bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kiya kahiye, wehem ki ghat se niklo
Sukhan war hum se kehta hai saja lo ankh mein kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amawas raat se niklo
Nahi tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamare karb ki choro, tum is gardaab se niklo
Sar-e-maqtal jo jate ho, na ho dermandgi kuch bhi
Zamana deikh thamm jaye kuch is andaaz se niklo

Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte

Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr deinge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte !

اُس نے مکتوب میں لکھا ہے کہ مجبور ہیں ہم

اُس نے مکتوب میں لکھا ہے کہ مجبور ہیں ہم
اور بانہوں میں کسی اور کی محصور ہیں ہم

اُس نے لکھا ہے کہ ملنے کی کوئی آس نہ رکھ
تیرےخوابوں سےخیالوں سے بہت دور ہیں ہم

ایک ساعت بھی شبِ وصل کی بھولی نہ ہمیں
آج بھی تیری ملن رات پہ مغرور ہیں ہم

چشم تر قلب حزیں آبلے پاؤں میں لئے
تیری الفت سے ترے پیار سے معمور ہیں ہم

اُن کی محفل میں ہمیں اذنِ تکلم نہ ملا
اُن کو اندیشہ رہا سرمد و منصور ہیں ہم

یوں ستاروں نے سنائی ہے کہا نی اپنی
گویا افکار سے جذبات سے معذور ہیں ہم

اس نے لکھا ہے جہاں میں کریں شکوہ کس سے
دل گرفتہ ہیں غم و درد سے بھی چور ہیں ہم

تیرا بے گانوں سا ہم سے ہے رویہ شہزاد
باوجود اس کے ترے عشق میں مسحور ہیں ہم

Zindagi say darrtay ho...!

Zindagi say darrtay ho...!


Zindagi say darrtay ho...

Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hai'n...

Aadmi say darrtay ho..

Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hai'n..

Aadmi zubaa'n bhi hay, aadmi bayaa'n bhi hay..

Is say tum nahee'n darrtay..

Harf aur ma'ani k rishhta haa-e-aahan say..

Aadmi hay waabasta..

Us say tum nahee'n darrtay..

"An-kahi" say darrtay ho..

Jo abhi nahee'n aaii us gharri say darrtay ho..

Us gharri ki aamad ki aa-gahi say darrtay ho..

Pehlay bhi to guzray hai'n...

Daur na-rasaaii k, Bay-riya khudaaii k..

Phir bhi yeh samajhtay ho, heeg aarzu mandi..

Yeh shab-e-zubaa'n bandi, hay raah-e-khuda-wandi..

Tum mager yeh kya jaano..

Lab ager nahee'n hiltay..

Haath jaag uth'tay hain..

Haath jaag uth'tay hain raah ka nishaa'n ban ker..

Noor ki zubaa'n ban ker..

Haath bol uth'tay hain subha ki azaa'n ban ker..

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

Kaisa lagay ga...!


Kaisa lagay ga...!



Ban jaaoo'n ager tum sa tumhai'n kaisa lagay ga...

Her pal mai'n rahoo'n tum say khafa kaisa lagay ga...

Parrhtay ho mujhay tum jo namaazo'n ki tarah say...

Ho jaaoo'n ager tum say qaza kaisa lagay ga...

Tum pyaar may khud ko kabhi mitaanay pay ho raazi...

Ban jaaey ager pyaar saza kaisa lagay ga....

Khud say bhi zyaada ho yaqee'n tum ko kisi per...

Woh shakhs hi day jaaey dagha kaisa lagay ga...

Tum aur kisi mehfil ka diya ban k jalo per...

Tanhaa'ee milay tum ko sila kaisa lagay ga...!

AB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO

AB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
DARD KIA HOTA HAI,TENHAYE KESY KAHTEY HAIN
CHAARSU GOUNJTI RUSWAI KESY KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
KOI LAAMHA HO TERI YAAD MAIN KHO JATEY HAIN
AAB TU KHOOD KO BHI MUYASSIR NAHI AA PAATEY
RAAT HO DIN HO TERY PIYAR MAIN HUM BAHTEY HAIN
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
JO BHI GUM AAI USEY DIL PEY SAAHA KERTEY THEY
EK WO WAQT THA HUM MIL KEY RAHA KERTEY THEY
AB EKALEY HI ZAMANEY KEY SITAM SAHTEY HAIN
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
HUM NEY KHOOD HI APEY RASTY MAIN BICHAYE KAANTEY
GHER MAIN PHOOL KI JAGA LAA KEY SAJAAI KAANTEY
ZAKHAM IS DIL MAI BAASAI HOWE KHOOD RAHTEY HAIN
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
AB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
YOUN TU DUNYA KI HAR EK CHEEZ HAASEE.N HOTI HAI
PIYAR SEY BARH KER MAGER KUCH BHI NAHI HOTI HAI
RASTA ROOK KEY HAR EK SEY YEHI KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
CHAARSU GOUNJTI RUSWAI KESY KAHTEY HAIN
AB JO BICHREY HAIN TU...??!!

Safar tanha nahee'n kartay..!

Safar tanha nahee'n kartay..!


Safar tanha nahee'n kartay..
Suno aisa nahee'n kartay...

Jisay shaffaaf rakhna ho...
Usay maila nahee'n kartay...

Safar jis ka muqaddar ho...
Usay roka nahee'n kartay...

Jo mil kar khud say kho jaey...
Ussay ruswa nahee'n kartay...

Chalo tum raaz ho apna...
Tumhai'n afshaa nahee'n kartay...

Jo dhun ho kar guzarnay ki...
To phir saucha nahee'n kartay...

Tairi aankho'n ko parrhtay hain...
Tujhay daikha nahee'n kartay...

Seher say poochh lo mohsin...
K hum soya nahee'n kartay...!

Barra dushwaar hota hay..

Barra dushwaar hota hay..

Zraa sa faisla kerna...

K zindagi ki Kahaani ko...

Bayaan-e-bazabani ko...

Kahaa'n say yaad rakhna hay...

Kahaa'n say bhool jana hay...

Kisay kitna bataana hay...

Kis say kitna chhupaana hay...

Kahaa'n ha'ns ha'ns k rona hay...

Kahaa'n ro ro ka has'naa hay...

Kahaa'n awaaz daini hay...

Kahaa'n khaamosh rehna hay...

Kahaa'n rastaa badlna hay...

Kahaa'n say lout aana hay...

Barra dushwaar hota hay...

Zra sa fisala kerna....!!

mUjhey Phir Yaad Aatey hAin Meray BiChray hOye Saathi

mUjhey Phir Yaad Aatey hAin Meray BiChray hOye Saathi
LahOo mUjh kO rUlatey hAin Meray BiChray hOye Saathi


Merii Takleef Sey hOtii Thii Un kO jO Paraishanii
Ussi Kii Yaad Laatey hAin Meray BiChray hOye Saathi


USii Mehfil Mein Jis Ki Yaad Sey mUjh kO mUhabbat hAi
Abhi Bhi Kheench Latey hAin Meray BiChray hOye Saathi


Shanasa Haal Sey Meray wO mUjh Sey Bhi Zyada hAin
mUjhey KhUd Sey Milatey hAin Meray BiChray hOye Saathi


Unhien Sham o Sehar Mein Bhi HameSha Yaad Rakhta hOn
mUjhey Kab BhOol Patey hAin Meray BiChray hOye Saathi


bUla Laita hOn Aksar Khwaab Mein Maazi Kii YaadOn kO
mUjhey Jab Yaad Aatey hAin Meray BiChray hOye Saathi


Kabhi jO Neend Aa Jaye tO KhwaabOn Mein Meray Aa Kar
mUjhey PehrOn sUlatey hAin Meray BiChray hOye Saathi...!!!

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Main Royi Sari Raat Bohat

Her Ghum tha Zamany ka lekin

May Tanha thi Us Raat Bohat

Phir Ankh se ik "SAWAN" Barsa

Jab Seher Hui to Khiyal Aya

Wo Badal Kitna Tanha Tha

Jo Barsa Sari Raat Bohat

Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya

Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya




bazahir aam lehjay main

kaha tha main ne jab us se

"badal lo raasta apna

juda rahain yaheen karlo

hamaray chahnay na chahnay se

kuch nahi hota

ye hi sach hai ke hum do mukhtalif

raston ke raahi hai

to phir kion dil ki manain hum

shuru main manti hoon main

azziyat dil ko pohanchay gi

magar phir waqt guzray ga

sabhi zakhmon ko bhar de ga"

meray is aam se lehjay pe wo

ik pal ko chonka tha

meri aankhon main aankhain daal kar

hairat se poocha tha

"ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"

bohat hi jee karda kar ke

main us dam muskuraii thi

bohat khud pe jabar kar ke

main us se keh ye payi thi

"meri tum fikr rehnay do

sambhal jaoon gi main khud hi

sabhi zakhmon ko sii loon gi

bhula kar sari batoon ko

akaili bhi main jee loon gi"

buhat hi be yaqeen aakhoon se

us ne mujh ko dekha aur

Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya

aur ab tark_e_taalluq ko

agarche umar beeti hai

magar is dil pe us ki zaat ka

jo naqsh qaaim tha

kabhi dhundla nahi hota

mujhay mehsoos hota hai

ke jaisay meray kanoon main

wo apni bolti aankhoon se

sargoshi si karta hai

"WO SAB JO KEH RAHI THEEN

KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?"

Hajoom-e-Gham Say Jis Dam Aadmi Ghabra Sa Jata Hai

Hajoom-e-Gham Say Jis Dam Aadmi Ghabra Sa Jata Hai
Tou Aisay Mein
Usay Awaz Per Qaboo Nahi Rehta
Woh Itnay Zor Say Faryaad Kerta, Chhekhta Or Bilbilata Hai
K Jaisay Woh Zameen Per Or Khuda Ho Aasmanon Mein

Magar Aisa Bhi Hota Hai
K Us Ki Cheekh Ki Awaz K Ruknay Say Pehlay Hi
Khuda Kuch Iss Qader Nazdeek Say Or Iss Qadar
Rehmat Bhari Muskan Say Usko Thapakta Or Us Ki Baat Sunta Hai
K Faryadi Ko Apni Cheekh Ki Shidat,
Sadaa Ki Bay-Yaqeeni Per, Nadamat Honay Lagti Ha..!!

Kuch bhi nahi hai khas in dino

Kuch bhi nahi hai khas in dino,
Tum jo nahi ho pas in dino,

Lagta nahi dil tujh bin,
Kaisa hai ye ehsas in dino,

Lot aye jane kis pal bhole se,
Lagi rehti hai dil ko aas in dino,

Tum aa jao behl jae shaed,
Dil both udas hai in dino,

Ik darya sa beh raha hai phir be,
Jane kaisi pyas hai in dino,

Har lamha chahta hai dil kitna tujko,
Kia tum ko ehsas hai in dino.

Wo Mujh se Mere Aanso'on ki Waja Pucthe hai

Wo Mujh se Meri Udasiyon ki Waja puchte hai
Kitni Pagal hai Raat k Sannate ki Waja puchate hai



Wo Mujh se Mere Aanso'on ki Waja Pucthe hai
Kitni Pagal hai Barish k barasne ki Waja puchte hai



Wo Mujh se Meri Pasand pucthe hai
Kitni Pagal hai Khud apne hi barey mai puchte hai



Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchte hai
Kitni Pagal hai Sahil per Khare Samandar ki Gehrai puchte hi

Mohabbat Hum Se Karni

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Wada Nahi Karna !!
Ye Wade Hum Ne Dekhen Hain Ke Aksar Toot Jate Hain !!

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Zid Bhi Nahi Karna !!
Ye Zid Bhi Hum Ne Dekhi Hai Ke Sathi Choot Jate Hain !!

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Tohfa Nahi Dena !!
Ye Tohfay Hum Ne Dekhen Hain Bohut Majboor Karte Hain !!

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Shikwa Nahi Karna !!
Ye Shikwy Hum Ne Dekhen Hain Dilon Ko Door Karte Hain !!

KASH MAIN TERAY

KASH MAIN TERAY HASEEN HAATH KA KANGAN HOTA
TU BARAY PYAR SAY CHAO SAY BARAY MAAN KAY SAATH
APNI NAZUK SI KALAEY MAIN CHARHATEY MUJHKO
AUR BETABI SAYFARQAT KAY KHIZAN LAMHON MAIN
TU KISY SOCH MAIN DUBI JO GHUMATY MUJHKO
MAIN TERAY HAATH KI KHUSHBOO SAY MEHAK SA JATA
JAB KABHY MOOD MAIN AA KAR MUJHAY CHUMA KARTY
TERAY HONTON KI MAIN HIDDAT SAY DEHAK SA JATA
RAAT KO JAB BHY TU NEENDON KAY SAFAR PER JATEY
MARMAREEN HAATH KA EK TAKKIA BANAYA KARTEY
MAIN TERAY KAN SAY LAG KAR KAYE BATAIN KARTA
TAIREY ZULFOON KO TERAY GAAL KO CHUMA KARTA
JAB BHY TU NEEND QABA KHOLNAY LAGTEY JANA
APNI ANKHON KO TERAY HUSN SAY KHAIRA KARTA
MUJH KO BETAB SA RAKHTA TERY CHAHAT KA NASHA
MAIN TERY ROOH KAY GULSHAN MAIN MEHAKTA REHTA
MAIN TAIRAY JISM KAY ANGAN MAIN KHANAKTA REHTA
KUCH NAHIN TO YEHI BENAM SA BANDHAN HOTA
KASH MAIN TERAY HASEEN HAATH KA KANGAN HOTA

Ye jo khawahishon k hain silsile

Ye jo khawahishon k hain silsile
Ye ajeeb tarz k hain silsile
Yhan manzilain hain qadam qadam
Yhan justaju hai nafas nafas
Kae manzilon tak pohanch gae
Kae raste main hi kho gae
Kae ho gae hain shikastapaa
Kae thak k raah main so gaye
Kae zindagi k suragh main
Kae moat k bujhte charagh main
Dhund rahe hain wohi manzilain
Jahan pohanch kar woh ja millain
Unhi khwahishon se jo mil gaen
Unhi aarzoon se jo na mil sakeen
Yhan aik baat hai mushtrik
Wo jo mil gae,woh jo na mile
wo jo pa gae ,woh jo kho gae
sabhi khwhishon k aseer hain
Sabhi manzilon k rahgeer hain
Sabhi zindagi ki justaju main
Hain moat ki jaanib Rawa’n Dawa’n
Har shay yahan hain dhuan dhuan
Jo kal huwa ya na huwa
Magar khwahishon k yeh silsile
Rahain ge aise hi DambaDam

I hate myself for living a lie

I hate myself for living a lie
I hate myself everytime I cry
I hate myself for living in sin
I hate myself agian and agian

I hate myself for being a fake
I hate myself for every breath I take
I hate myself for giving in
I hate myself agian and agian

I hate my self for being something I not
I hate myself for trying to look "hot"
I hate my self for the shit I get myself in
I hate myself agian and agian

I hate myself for trusting
I hate myself for lusting
I hate myself outside and within
I hate I myself agian and agian

mary hatho ki lakeero

mary hatho ki lakeero ma ya aib chupa ha mohsin
ma jis shakhs ko cho lo wo mara nai raha

aaj phir teri yadon

aaj phir teri yadon ki purvaayee chali
aaj phir koi roya hai hichkiyaan lekar

chalo ik bar phir

chalo ik bar phir s ajnabi ban jayen hum donon
na m tum s umeed rakhon dil navazi k
na tum mere taraf dekho galat andaz nazron s

na mere dil k dharkan larkhare mere baton m
na zahir ho tere khamakash ka raz nazromn m
chalo ik bar phir s ajnabi ban jayen hum donon

tumhen b koi ulgan rokti ha peshqadmi s
mugy b log kehte han k y jalve purae han


mere hamrah b rusyan han mere mazi k
tumhare sath guzre hoe raton k saye han

"rat baqi ha" by mohsan naqvi

"donon jahan teri mohabat" faz ahmed faz

"rodar e mohabat kya kahae" by saghar siddiqui

"wo larke b ajeeb eik pehle the" by mohsan naqvi

"zamane bhar k nighaon" by mohsan naqvi

"pocha kisi ny hal" by saghar siddiqui

"mohabat ky mazaron" by saghar siddiqui

"nazar nazar b qarar s ha nafas nafas" by saghar siddiqui

"resham zulfon nelem ankhon" by naqvi

"vo jis ka name bhi lya peheleon ki oot" by mohsan naqvi

"y jo dewane s do char nazar ate han" by saghar siddiqui

mog dar mog by saghar siddiqui

Thursday, April 23, 2009

Kahan Yea Bass Mein

Kahan Yea Bass Mein Keh Hum Khud Ko Hosla Detay ..!!
Yahi Buhat Tha Keh Har Ghum Peh Muskura Detay..!!


Hawa ki Doorr Ulajti Jo Ungliyun Say Kabi..!!
Hum Aasmaan Peh Tera Naam Tak Saja Detay..!!


Hamarey Aks Mein Hoti Jo Zakhmi Dil Ki Jalak...!!
Hum Aai'ney Ko Bhi Apni Tarah Rulaa Detay..!!


Humein Bhi Roshin'ion Par Jo Dastaras Hoti ..!!
Kabi Chiragh Jalatey Kabhi Bhujaa Detay..!!


Hamaray Paoon Hawa'on Ki Zadh Mein Thay Warna..!!
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay...!!


Ab Uski Yaad Say Uska Badan Tarashtey Hein MOHSIN......!!
Woh Khuwaab Bhi Toa Nahe Tha Keh Hum Bhula Detay..!!

Chalo yeh farz krtay hain...........

Chalo yeh farz krtay hain...........
k tum MASHRIQ.....
main MAGHRIB hoon.....

Chalo yeh maan letay hain....
bara lamba safar hai yeh.

magar......

yeh bhi haqeeqat hai.........

tmhari zaat ka suraj......
bohat sa faasla chal ker.......

Meri hasti main doobay ga.

Mohabbat Taaq-e-Dil Per

Mohabbat Taaq-e-Dil Per
Jalny Wala Wo
Chiraag-e-Aakhir-e-Shab Hy
K
Is Ki Lau Agar
Madham bhi Par Jaye
Tou Andar Ka
Ujala Kam Nahi Hota ...

hazrat muhammad by iqbal

khudi by iqbal

quran by iqbal

ye ghazi by iqbal

mazhab by iqbal

mer karwan by iqbal

bulbul by iqbal

Shikwa by iqbal

Hindi mulslaman by Iqbal

Bharman by allama iqbal

Poem "ALLAMA IQBAL"

shikwa of allama iqbal 3

Daur Hangama E Gulzaar Say Yaksuu Baithay
Tere Deewanay Bhi Hein Muntazir Hu Baithay!
Apnay Parwaoon Ko Phir Zauq E Khud Afroozi Day
Barq E Daireena Ko Farmaan E Jigar Soozi Day

Qaum E Aawara Aan Ta'ab Hai Phir So'ay Hijaaz
Lay Ura Bulbul E Bayper Ko Mazaaq E Parwaaz
Muztarib Baagh K Her Ghunchay Mein Hai Boo'ay Niyaaz
Tu Zara Chair To Day, Tishna E Mazraab Say Saaz
Naghmay Baytaab Hein Taaron Say Nikalnay K Liyeah
Toor Muztir Hai, Ise Aag Mein Jalnay K Liyeah

*Mushkilein Ummat E Marhoom Ki Aasan Ker Day
Mooribe Maya Ko Humdoosh E Sulmaimaan Ker Day
Jins E Nayaab Muhabbat Ko Phir Arzaan Ker Day
Hind K Dair E Nasheenon Ko Musalmaan Ker Day
Jo'ay Khoonmee Chakraaz Hasrat Deerena E Ma
Mee Tapeedna Lab E Nashtar Kar Day Seena E Ma

Bo'ay Gul Lay Gayi Bairoon E Chaman, Raaz E Chaman
Kia Qayamat Hai K Khud Phool Hein Ghammaz E Chaman
Ehd E Gul Khatm Hua, Toot
Gaya Saaz E Chaman
Urh Ga'ay Daaliyo on Say Zamzama Pardaaz E Chaman
Aik Bulbul Hai K Yeah Mehw E Tarannum Ub Tak,
Is K Seenay Mein Hai Naghmoon Ka Talatum Ub Tak

Qumryaan Shaakh Sanoobar Say Gurezaan Bhi Hoween
Pattiyan Phool Ki Jar Jar K Pareshaan Bhi Hoween
Who Purani Rawishein Baagh Ki Weeran Bhi Hoween
Daaliyan Pairhun E Bargh Say Uryaan Bhi Hoween
Qaid E Mosam Say Tabiyat Rahi Aazad Is Ki
Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Faryaad Is Ki

Lutf Marnay Mein Hai Baaqi, Na Maza Jeenay Mein
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon E Jigar Peenay Mein
Kitnay Baytaab Hein Johar Maray Aaiinay Mein
Kiss Qadr Jalway Tar aptay Hein Mere Seenay Mein
Is Guliastaan Mein Magar Daikhnay Walay He Nahi
Daagh Jo Seenay Mein Rakhtay Hoon Who Lalay He Nahi

Chaal Is Bulbul E Tanha Ki Nawasay Dil Hoon
Jaagnay Walay Isi Bang E Dara Say Dil Hoon
Ya'ni Phir Zinda Naye Ehd E Wafa Say Dil Hoon
Phir Isi Bada E Daireena K Piyasay Dil Hoon
Ajami Khum Hai To Kia, Maay To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kia, Lay To Hijazi Hai Meri

Qaum E Aawara Aan Ta'ab Hai Phir So'ay Hijaaz
Lay Ura Bulbul E Bayper Ko Mazaaq E Parwaaz
Muztarib Baagh K Her Ghunchay Mein Hai Boo'ay Niyaaz
Tu Zara Chair To Day, Tishna E Mazraab Say Saaz
Naghmay Baytaab Hein Taaron Say Nikalnay K Liyeah
Toor Muztir Hai, Ise Aag Mein Jalnay K Liyeah

Bo'ay Gul Lay Gay i Bairoon E Chaman, Raaz E Chaman
Kia Qayamat Hai K Khud Phool Hein Ghammaz E Chaman
Ehd E Gul Khatm Hua, Toot Gaya Saaz E Chaman
Urh Ga'ay Daaliyoon Say Zamzama Pardaaz E Chaman
Aik Bulbul Hai K Yeah Mehw E Tarannum Ub Tak,
Is K Seenay Mein Hai Naghmoon Ka Talatum Ub Tak

Qumryaan Shaakh Sanoobar Say Gurezaan Bhi Hoween
Pattiyan Phool Ki Jar Jar K Pareshaan Bhi Hoween
Who Purani Rawishein Baagh Ki Weeran Bhi Hoween
Daaliyan Pairhun E Bargh Say Uryaan Bhi Hoween
Qaid E Mosam Say Tabiyat Rahi Aazad Is Ki
Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Faryaad Is Ki

Lutf Marnay Mein Hai Baaqi, Na Maza Jeenay Mein
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon E Jigar Peenay Mein
Kitnay Baytaab Hein Johar Maray Aaiinay Mein
Kiss Qadr Jalway Taraptay Hein Mere Seenay Mein
Is Guliastaan Mein Magar Daikhnay Walay He Nahi
Daagh Jo Seenay Mein Rakhtay Hoon Who Lalay He Nahi

Chaal Is Bulbul E Tanha Ki Nawasay Dil Hoon
Jaagnay Walay Isi Bang E Dara Say Dil Hoon
Ya'ni Phir Zinda Naye Ehd E Wafa Say Dil Hoon
Phir Isi Bada E Daireena K Piyasay Dil Hoon
Ajami Khum Hai To Kia, Maay To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kia, Lay To Hijazi Hai Meri

shikwa of allama iqbal 2

Dasht To Dasht Hein Darya Bhi Na Choray Hum Nai
Behr E Zulmaat Mein Dora Diyeah Ghoray Hum Nai

Saf A E Dehr Say Baatil Ko Mitaya Hum Nai
No'h Insaan Ko Ghulami Say Churaya Hum Nai
Tere Kaa'bay Ko Jabeenoon Say Basaya Hum Nai
Tere Quran Ko Seenon Say Lagaya Hum Nai
Phir Bhi Hum Say Yeah Gila H K Wafadaar Nahi
Hum Wafadar Nahi, Tu Bhi To Dildaar Nahi

Ummatein Aur Bhi Hein, Is Mein Gunaahgaar Bhi Hein
Ijz Walay Bhi Hein Mast Maye Pandaar Bhi Hein
In Mein Kaahil Bhi Mein, Ghaafil Bhi Hein, Hushyaar Bhi Hein
Sainkroon Hein Jo Tere Naam Say Beezar Bhi Hein
Rehmatein Hein Teere Aghyaar K Kashaanon Per
Barq Girti Hai To Becharay Musalmaanon Per

But Sanam Khaanon Mein Kehtay Hein Musalmaan Ga'ay
Hai Khushi Un Ko K Kaa'bay K Nigahbaan Ga'ay
Manzil E Dehr Say Oonton K Hudi Khuwaan Ga'ay
Apni Baghloon Mein Daba'ay Hoay Quraan Ga'ay
Khanda Zan Kufr Hai, Ehsaas Tujhay Hai K Nahi?
Apni Tauheed Ka Kuc h Paas Tujhay Hai K Nahi?

Yeah Shikayat Nahi, Hein In K Khazanay Maa'moor
Nahi Mehfil Mein Jinhein Baat Bhi Karnay Ka Sha'oor
Qehr To Yeah Hai K Kaafir Ko Milein Hoor O Qusoor
Aur Becharay Musalmaanon Ko Faqt Wada O Hoor
Ub Woh Altaf Nahi, Tum Pay Inayaat Nahi
Baat Yeah Kia Hai K Pehli Si Madaraat Nahi?

Kiyoon Musalmaanon Mein Hai Dolat Dunya Nayaab
Tairee Qudrat To Hai Woh Jinki Na Had Hai Na Hisaab
Tu Jo Chahay To U thay Seena E Sehra Say Habaab
Rehro E Dasht Ho Seeli Zada Mooj Saraab
Taa'n E Aghyaar Hai, Ruswaai Hai, Nadari Hai
Kia Tere Naam Pay Marnay Ka A'wiz Khuwari Hai?

Bani Aghyaar Ki Ub Chahnay Wali Dunya,
Reh Gayi Apnay Liyeah Aik Khayali Dunya!
Hum To Rukhsat Hoay Auron Nai Sambhali Dunya
Phir Na Kehna Howe Tauheed Say Khaali Dunya!
Hum To Jeetay Hein K Dunya Mein Tera Naam Rahay
Kaheen Mumkin Hai K Saaqi Na Rahay, Jam Rahay?

Tairee Mehfil Bhi Gayi, Chahnay Walay Bhi Ga'ay
Shab Ki Aahein Bhi Ga'een, Subh K Lalay Bhi Ga'ay
Dil Tujhay Day Bhi Ga'ay, Apna Sila Lay Bhi Ga'ay
Aa K Baithay Bhi Na Thay Aur Unka Lay Bhi Ga'ay
Aa'ay Aashiq, Ga'ay Waa'da O Farda Lay Ker
Ub Unhein Dhoon d Charaagh Zeba Lay Ker

Dard E Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pehlo Bhi Wohi
Bukhd K Dasht O Jabl Mein Ram Aaho Bhi Wohi
Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadu Bhi Wohi
Ummat E Ahmad Mursal Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi
Phir Yeah Aazird Gayi Ghair, Sabab Kia Maa'ni?
Apni Shaidaaon Pay Yeah Chashm Ghazab Kia Maa'ni?

Tujh Ko Chora K Rusul E Arabi Ko Chora
But Gari Paisha Kia, But Shikni Ko Chora
Ishq Ko, Ishq Ki Aashiftasri Ko Chora
Rasm E Salman O Oais Qarni Ko Chora
Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhtay Hein
Zindagi Masl E Bilal Habshi Rakhtay Hein!

Ishq Ki Khair, Who Pehli Si Ada Bhi Na Sahii
Jad O Paimaayi Tasleem O Raza Bhi Na Sahii
Maghtarab Dil Sift E Qibla Numai Bhi Na Sahii
Aur Pabandi Aa'een E Wafa Bhi Na Shii
Kabhi Hum Say. Kabhi Ghairoon Say Shanasaayi Hai
Baat Kehnay Ki Nah i To Bhi Tu Harjayi Hai

Sir E Faaran Pay Kiya Deen Ko Kamil Tu Nai,
Ik Isharay Mein Hazaroon K Liyeah Dil To Nai
Aatish Andooz Kiya Ishq Ka Haasil Tu Nai
Phoonk Di Garme E Rukhsaar Say Mehfil To Nai
Aaj Kiyoon Seenay Hamaray Sharr Aabad Nahi?
Hum Woji Sokhta Samaan Hein, Tujhay Yaad Nahi?

Wadi E Bukhd Mein Who Shor E Silasal Na Raha
Qais Deewana Nazara Mehmil Na Raha!
Hoslay Who Na Rahay, Hum Nai Rahe, Dil Na Raha
Ghar Yeah Ujra Hai K To Ronaq E Mehfil Na Raha
Ay Khushaan Rooz K Aayi O Burasnaz Aayi
Bay Hijaba Na Soye Mehfil Ma Baaz Aayi!

Baad A Kash Ghair Hein Gulshan Mein Lab Jo Baithay
Suntay Hein Jam Bakaf Naghma Ko Koo Baithay!