Hajoom-e-Gham Say Jis Dam Aadmi Ghabra Sa Jata Hai
Tou Aisay Mein
Usay Awaz Per Qaboo Nahi Rehta
Woh Itnay Zor Say Faryaad Kerta, Chhekhta Or Bilbilata Hai
K Jaisay Woh Zameen Per Or Khuda Ho Aasmanon Mein
Magar Aisa Bhi Hota Hai
K Us Ki Cheekh Ki Awaz K Ruknay Say Pehlay Hi
Khuda Kuch Iss Qader Nazdeek Say Or Iss Qadar
Rehmat Bhari Muskan Say Usko Thapakta Or Us Ki Baat Sunta Hai
K Faryadi Ko Apni Cheekh Ki Shidat,
Sadaa Ki Bay-Yaqeeni Per, Nadamat Honay Lagti Ha..!!
Friday, April 24, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment