Tumhari ankhei'n kehti hai'n hisaar-e-zaat se niklo
Tamanna meri bann jao shab-e-berbaad se niklo
Kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do'purani yaad se niklo
Khayal-e-yaar acha hai mager jis ne wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-feryad se niklo
Nahi koi mohabbat bhi,hijar rutt bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kiya kahiye, wehem ki ghat se niklo
Sukhan war hum se kehta hai saja lo ankh mein kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amawas raat se niklo
Nahi tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamare karb ki choro, tum is gardaab se niklo
Sar-e-maqtal jo jate ho, na ho dermandgi kuch bhi
Zamana deikh thamm jaye kuch is andaaz se niklo
Friday, April 24, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment