Dasht To Dasht Hein Darya Bhi Na Choray Hum Nai
Behr E Zulmaat Mein Dora Diyeah Ghoray Hum Nai
Saf A E Dehr Say Baatil Ko Mitaya Hum Nai
No'h Insaan Ko Ghulami Say Churaya Hum Nai
Tere Kaa'bay Ko Jabeenoon Say Basaya Hum Nai
Tere Quran Ko Seenon Say Lagaya Hum Nai
Phir Bhi Hum Say Yeah Gila H K Wafadaar Nahi
Hum Wafadar Nahi, Tu Bhi To Dildaar Nahi
Ummatein Aur Bhi Hein, Is Mein Gunaahgaar Bhi Hein
Ijz Walay Bhi Hein Mast Maye Pandaar Bhi Hein
In Mein Kaahil Bhi Mein, Ghaafil Bhi Hein, Hushyaar Bhi Hein
Sainkroon Hein Jo Tere Naam Say Beezar Bhi Hein
Rehmatein Hein Teere Aghyaar K Kashaanon Per
Barq Girti Hai To Becharay Musalmaanon Per
But Sanam Khaanon Mein Kehtay Hein Musalmaan Ga'ay
Hai Khushi Un Ko K Kaa'bay K Nigahbaan Ga'ay
Manzil E Dehr Say Oonton K Hudi Khuwaan Ga'ay
Apni Baghloon Mein Daba'ay Hoay Quraan Ga'ay
Khanda Zan Kufr Hai, Ehsaas Tujhay Hai K Nahi?
Apni Tauheed Ka Kuc h Paas Tujhay Hai K Nahi?
Yeah Shikayat Nahi, Hein In K Khazanay Maa'moor
Nahi Mehfil Mein Jinhein Baat Bhi Karnay Ka Sha'oor
Qehr To Yeah Hai K Kaafir Ko Milein Hoor O Qusoor
Aur Becharay Musalmaanon Ko Faqt Wada O Hoor
Ub Woh Altaf Nahi, Tum Pay Inayaat Nahi
Baat Yeah Kia Hai K Pehli Si Madaraat Nahi?
Kiyoon Musalmaanon Mein Hai Dolat Dunya Nayaab
Tairee Qudrat To Hai Woh Jinki Na Had Hai Na Hisaab
Tu Jo Chahay To U thay Seena E Sehra Say Habaab
Rehro E Dasht Ho Seeli Zada Mooj Saraab
Taa'n E Aghyaar Hai, Ruswaai Hai, Nadari Hai
Kia Tere Naam Pay Marnay Ka A'wiz Khuwari Hai?
Bani Aghyaar Ki Ub Chahnay Wali Dunya,
Reh Gayi Apnay Liyeah Aik Khayali Dunya!
Hum To Rukhsat Hoay Auron Nai Sambhali Dunya
Phir Na Kehna Howe Tauheed Say Khaali Dunya!
Hum To Jeetay Hein K Dunya Mein Tera Naam Rahay
Kaheen Mumkin Hai K Saaqi Na Rahay, Jam Rahay?
Tairee Mehfil Bhi Gayi, Chahnay Walay Bhi Ga'ay
Shab Ki Aahein Bhi Ga'een, Subh K Lalay Bhi Ga'ay
Dil Tujhay Day Bhi Ga'ay, Apna Sila Lay Bhi Ga'ay
Aa K Baithay Bhi Na Thay Aur Unka Lay Bhi Ga'ay
Aa'ay Aashiq, Ga'ay Waa'da O Farda Lay Ker
Ub Unhein Dhoon d Charaagh Zeba Lay Ker
Dard E Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pehlo Bhi Wohi
Bukhd K Dasht O Jabl Mein Ram Aaho Bhi Wohi
Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadu Bhi Wohi
Ummat E Ahmad Mursal Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi
Phir Yeah Aazird Gayi Ghair, Sabab Kia Maa'ni?
Apni Shaidaaon Pay Yeah Chashm Ghazab Kia Maa'ni?
Tujh Ko Chora K Rusul E Arabi Ko Chora
But Gari Paisha Kia, But Shikni Ko Chora
Ishq Ko, Ishq Ki Aashiftasri Ko Chora
Rasm E Salman O Oais Qarni Ko Chora
Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhtay Hein
Zindagi Masl E Bilal Habshi Rakhtay Hein!
Ishq Ki Khair, Who Pehli Si Ada Bhi Na Sahii
Jad O Paimaayi Tasleem O Raza Bhi Na Sahii
Maghtarab Dil Sift E Qibla Numai Bhi Na Sahii
Aur Pabandi Aa'een E Wafa Bhi Na Shii
Kabhi Hum Say. Kabhi Ghairoon Say Shanasaayi Hai
Baat Kehnay Ki Nah i To Bhi Tu Harjayi Hai
Sir E Faaran Pay Kiya Deen Ko Kamil Tu Nai,
Ik Isharay Mein Hazaroon K Liyeah Dil To Nai
Aatish Andooz Kiya Ishq Ka Haasil Tu Nai
Phoonk Di Garme E Rukhsaar Say Mehfil To Nai
Aaj Kiyoon Seenay Hamaray Sharr Aabad Nahi?
Hum Woji Sokhta Samaan Hein, Tujhay Yaad Nahi?
Wadi
Qais Deewana Nazara Mehmil Na Raha!
Hoslay Who Na Rahay, Hum Nai Rahe, Dil Na Raha
Ghar Yeah Ujra Hai K To Ronaq E Mehfil Na Raha
Ay Khushaan Rooz K Aayi O Burasnaz Aayi
Bay Hijaba Na Soye Mehfil Ma Baaz Aayi!
Suntay Hein Jam Bakaf Naghma Ko Koo Baithay!
No comments:
Post a Comment