Friday, May 1, 2009

Zamaney Bhar Ki Nigaho'n Mei'n Jo Khuda Sa Lagey

Zamaney Bhar Ki Nigaho'n Mei'n Jo Khuda Sa Lagey
Woh Ajnabii Hai, Magar Mujhh Ko Aashnaa Sa Lagey

Naa Jaaney Kabb Merii Duniyaa Mei'n Muskuraaye Gaa
Woh Aik Shakhs Ke Khoabo'n Mei'n Bhi Khafa Sa Lagey

Ajeeb Cheez Hai Yaaroo, Yey Manziloo'n Kii Havass
Ke Raahzann Bhi Musafirr Ko, Rah-Numa Sa Lagey

Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, Ke Mujhey
Woh Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagey

Huii Hai Jiss Sey Munavvar Har Aik Aankh Kii Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey

No comments:

Post a Comment