Friday, May 1, 2009

kehne ko is s mera

yon to kehne ko

mujrim

hum log tere shehar m

kabi veran doston per

koi likhta b nai

mugh hansate rhne

ban jaoo agr tumsa tumay keisa lagay ga

ban jaoo agr tumsa tumay keisa lagay ga
her pal rahoon tumse kafa tumay keisa lagay ga
pertay ho mujay jo tum numazaaon ki teraan
ho jaoon agr tumse qaza tou tumay keisa lagay ga
tum piyaar main kabhi kud ko mitany pe ho raazi
ban jaye agr piyaar saza tumay keisa lagay ga
kud se zeada ho yaqeen tum ko kisi per
wo shaks hi de jaye daga tumay keisa lagay ga
tum oroon ki mehfil ka dia ban k jaloo
per tenhai peray tum ko sehna tumay keisa lagay ga

mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa

mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
diivaaron se sar Takaraaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
har baat gavaaraa kar loge mannat bhii utaaraa karoge
taabiizen bhii bandhavaaoge jab ishq tumnhen ho jaayegaa
tanhaa_ei ke jhoole khulenge har baat puraani bhulenge
aa_eine se tum ghabraaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
jab suraj bhi kho jaayegaa aur chaand kahin so jaayegaa
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
bechaini barr jaayegi aur yaad kisii ki aayegi
tumhen meri Ghazal yaad aaye gi jab ishq tumhen ho jaayegaa

Uski yaadon ka silsila hoga

Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga

ye jo zeest ka safer hai,

ye jo zeest ka safer hai,
yeh jo rasta hai mera.
Tum agar na saath doon ge,
To ye kistarha katay ga?
Meri soch ki hado tak,
yeh guman bhi kaisey aey?
Koi pal
Bina tumharay........
Bhala kaisey beet jaey?
Mere paas Tum nahi ho?
Mere paas kab nahi ho?
Meri har dua ka mehvar,
Bas
ARZO TUMHARI!
Is arzo se agey,
Koi rasta nahi hai.
TUMHEIN kisqadar hai CHAHA......
Yeh Tumhein.........
PATA NAHI HAI!

ye zindagi ka fasla mita sako tu sath do

ye zindagi ka fasla mita sako tu sath do
baray fraib khao gay baray sitam uthao gay
ye umar bher ka sath hai nibha sako tu sath do
jo tum kaho ye dil tu kiya main jan bhi karoun fidah
jo main kahoun tu ek nazar luta sako tu sath do
hazar imtehan aur hazar aazmaishen
hazar dukh.,hazar gum utha sako tu sath do
ye zidnagi yahan khosi gamoun key sath sath hai
rula sako tu sath do.,hansa sako tu sath do..

Musafir k raste badalte rahe

Musafir k raste badalte rahe
Muqader main chalna tha chalet rahe

Koi phool sa hath kandhe pe tha
Mrey haath sholoon main jalte rahe

Mere rastein main ujala raha
Diye uski ankhoon main ankhoon main jalte rahe

Muhabbat' adawat' wafa ' berukhi
Karaey k ghar the badalte rahe

Suna hai unhey bhi hawa lag gai
Hawoon ka rukh jo badalte rahe

Woh kia tha jissey humne thukra dia
Mager umer bhar haath malte rahe

Mouhabat Ke Tabiyat May !

Mouhabat Ke Tabiyat May !
Mouhabat Ki Tabiyat May
Yeah Kaisa Bachpana Qudrat Nay Rakha Hay
Ke Yeah Jitnee Bhee Purrani,
Jitnee Bhee Mazboot Hu Jaye
Issay Tayed-e-taza ki Zaroorat Phir Bhee Rehtee Hay
Yaqeen Ki Akhri Hadoo'n Tak
Nigahoon May Lehlahatee Hu
Ankhoon May Chamaktee Hu
Lahoo May jagmagatee Hu
Issay Izhaar Ke Lafzoon Ki
Hajat Phir Bhee Rehteee Hay
Mouhabat Mangtee Hay Yooon
Gawaahi Apnay Hounay Ki
Jaisay Ik Tifal-e-Sadaaa
Shaam may Beej Boye
Aour Shab May Barha Uthay
Zameen Khod kar Dekay, Ke Yeah Pouda Kahan Tak Hay
Mouhabat Ki Tabgiyat May
Ajab Takrar ki Khu Hay
Ke Yeah Izhar Ke Lafzoon Ku
Sun'nay Se Nahee Thaktee
Bicharnay ki Koi Gharee Hu
Ya milnay ki Koi Sa'aaat
Issay Bass Aik Heee Dhunn Hay
Kaho Mujh Se Mouhabat Hay
Kaho Mujh Se Mouhabat Hay

tumhain jana zarori hay

tumhain jana zarori hay
chalo phir is terhan ker lo
tum apnay rastay ho lo
naae manzil koi dhondoo
naae dunya basaao tum
mujhay kuch dair rukna hay
yahan kuch kam kernay hain
yahan yadain hain kuch mairee
wo kuch beetay howay lumhay
wo anchal say giray thay ju
bikher ker dor tuk
mujhko paraishan ker rahay hain ju
unhain ik jaah kerna hay
kahain par dafun kerna hay
muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
phir is kai bad mujhko lout jana hay
ab itnay kam hain janaa
tumhain jaldi hay tum jao
mujhay kuch waqt lag na hay
yai mah-o-saal hon shayad
ya shayad hon kaee sadyaan
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
ju jana hay tu phir is main
morrawat kee zaroorat kya
muhabbat ab nahe tumko
takkalof kee zaroorat kya
naya sathi ju dhondha hay
tu phir mairee zaroorat kya..............

Woh sarey khat jala do

Woh sarey khat jala do
Woh sari baaten bhula do,

Woh andekhey anjane sapney
Dil key kisi koney mein chupa do

Jis ney hamein mayus kiya
Woh sari umeidein mita do.

Raat abhi buhat baqi hai
Raat ke andhere ko mita do,

Koi rota hoga ab bhi tanha
Usey ja key yeh baat bhi batla do.

Socha tha tumhein kabhi apna bananey kaa
Woh sarey sapney ko ab duwaaan do.

Aaj raat buhat zoron ki barsaat hai
Aankhon key rastey Aansooon ko baha do,

Saat dekhey the jo sapney sab chur huye.
Tum kabhi yaad naa Aao mujhey bas itni si dua do,

aashiqi be-dili se mushkil hai

aashiqi be-dili se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hee se mushkil hai
sabr karanaa abhi se mushkil hai

ham ?? aasaan hain aur hamaare liye
dushmani dosti se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate hon
bewafaai usii se mushkil hai

ek do dosray se sahel na jaan
har koi har kisi se mushkil hai

tu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasi us gali se mushkil hai

Zamaney Bhar Ki Nigaho'n Mei'n Jo Khuda Sa Lagey

Zamaney Bhar Ki Nigaho'n Mei'n Jo Khuda Sa Lagey
Woh Ajnabii Hai, Magar Mujhh Ko Aashnaa Sa Lagey

Naa Jaaney Kabb Merii Duniyaa Mei'n Muskuraaye Gaa
Woh Aik Shakhs Ke Khoabo'n Mei'n Bhi Khafa Sa Lagey

Ajeeb Cheez Hai Yaaroo, Yey Manziloo'n Kii Havass
Ke Raahzann Bhi Musafirr Ko, Rah-Numa Sa Lagey

Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, Ke Mujhey
Woh Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagey

Huii Hai Jiss Sey Munavvar Har Aik Aankh Kii Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey

Tumhein b kho dya

Kho deinae ki adat.....
Pehlae b thi mujh mein....
Meri is adat per!
.........Tum bohat hanstae thae
Phir khud hi ek dum kehtae thae!!
Har roz kuch na kuch kho deinaa.....
...Khalish ban jata hai jana......
Ab kon merae ansu......
Apni hatheli per jama karkae.......
mujhae chup karayae ga....
.............kyunkae....
......Meri laparwah tabyat nae.....

Kuch zindagi baywafa

Kuch zindagi baywafa thee kuch teri dua may farak tha....
Kuch hum say khata hovi kuch teri wafa may farak tha....
Shaid khabe hum dona aik he ho jatay....
Khuch main bhi tha ana main khuch teri sada main farak tha...
Ajj marmittay hai aisay k kabhi shambhal saktay nahi....
Khuch zamana bay raham tha khuch teri jafa main farak tha....
Tu nay bhi nahi dekha shaid mujhay zamanay ki tarah.....
Khuch bhol gay thay hum bhi khuch teri nigha main farak tha.....

Mohabbat tum nay kab ki hai?

Mohabbat tum nay kab ki hai?
mohabbat main nay ki hai
tum nay bus khamshi ki aut main rakh kar
kuch apnay lams kay misray meray dil main utaaray hain
lab-e-num saaz kay num main kai nazmain bhigo kar
meray shaan'on par bhikhairi hain

Muhabbat tum nay kab ki hai?
mohabbat main nay ki hai
tum nay to apni aankhon door tak israar main doobi hoye
ek shaam jessi sard aankhon main mujhay tehleel karna tha
so main bhi aik baywuqat say lamhay ki tarah ab tak
tumharay paao'n ki matti say lipta hoon
na tum nay paao'n ki matti ko jhutka hai
na usnay bay wuqat bay maaya lamhay ko
utha kar apni paishaani pay rakha hai
tumhari khamshi ki oak main meray liye kia hai
sub hi kuch hai magar iqraar ki jhilmil nahin hai
samandar mojizan hai or koi saahil nahin hai

Mohabbat tum nay kab ki hai?

Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise

Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise


Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise
Saath Chal Aise Mooj-e-Saba Ho Jaise

Log Youn Dekh K Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise

Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barha
Youn Na Mil Humse Khuda Ho Jaise

Ab Toh Mout Bhe Aayegi Is Naaz Se
Mujh Pe Ehsaan kiya Ho Jaise

Aisi Anjaan Bani Bethi Ho Tum
Tum Ko Kuch Pata Bhe Na Ho Jaise

Hichkiyaan Raat Ko Aati He Rahi
Tum Ne Phir Yaad kiya Ho Jaise

Zindagi Beet Rahi Hai Youn Hi
Ik Be-Jurm Saza Ho Jaise!!!!!!

Dushman mere khusiyon ka zamana hi nahi tha

Dushman mere khusiyon ka zamana hi nahi tha
tum ne bhi kabhi apna to jana hi nahi tha
kia karta akela main saja kar koi mehfil
jab shehar main kisi ne nibahna hi nahi tha
dil ne to bahut chaha mager kis tarah jeete
jine ke liye koi bahana hi nahi tha
mur mur ke dekhta raha maiN omar bhar magar
tum aaye nahi tum ko to aana hi nahi tha
aik rasta bacha tha woh bhi lotne ka tha
jata main kahaN koi thikana hi nahi tha
ab jhuk ke mere lash ko jhinjhor rahe ho
jaise tumhare "SHAYAR" ko jana hi nahi tha

Yeh sheeshay yeh sapnay

Yeh sheeshay yeh sapnay
yeh rishtay yeh dhagay


Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay
Kisay kiya khabar hei kahan toot jaaein
Mohabbat kay dariya mein tinkey wafa key
Najaney yeh kis mor par doob jaaein
Ajab dil ki waadi ajab dil ki basti
har ik mor mousam nayee khawahishon ka
lagaye hein hum ne bhi sapnon ke poday
magar kiya bharosa yahan baarishon ka
muradon ki manzil key sapnon mein khoyay
mohabbat ki raahon peh hum chal pare thay
zara door chal kar jab aankhein khuli to
karee dhoop mein hum akalay kharey thay
Jinhein dil sey chaha, jinhein dil sey pooja
Nazar aa rahey hein wohi ajnabee say
Rawayat hei shayad yeh sadiyon purani
shikayat nahin hai koi zindagi say
Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay
Kisay kiya khabar hai kahan toot jaaein.

~ Mai'n Ney Us Ko To Kuch Na Kaha Tha ~*

Buss Itna Hi Yaad Prta Hay Mujh Ko
Jab Aakhiri Shaam,
Wo Mujh Say Milney Ko Aai To
Main Sar Ko Jhukaye,
Khud Say Hi Kuch Keh Raha Tha
Bey Khayaali Sey,
Dheemay Lehjay Mei'n Ik Misra Parh Raha Tha


"Meri Tamanna Wo Haroof Hei'n Jo Likhay Gaye Geelay Kaghzoo'n Par"

Koi kabhi un majboor chehron ko parhay

Koi kabhi un majboor chehron ko parhay
Koi kabhi un majboor chehron ko parhay
Jo afsaanon ki tarha hotay hain
Woh ankhein jin mein shokhion ki jagha
Gehray gehray samandar hotay hain
Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye
Chup ki chaadurain orhi hoti hain
Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi
Tootay huway armaan chupay hotay hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

abhi woh dard baqi hai

abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki

mujh per gard baqi hai

abhi woh dard baqi hai.....

Sach

Abhi Woh Dard Baqi Hay......

Ajnabi c Raho Ka Ek Ajnabi Musafir......

Ajnabi c Raho Ka Ek Ajnabi Musafir......
ajnabi ajnabi si rahon ka ek ajnabi musafir ....
mujh se pooch betha hai ...
rasta bata doge ????
ajnabi ajnabi si rahon ke ..
ajnabi musafir sun!!!!
rasta koi bhi ho ...
wasta koi bhi ho ...
manzilein nahi miltiiin ....
manzilein to dhoka hein ..
manzilein jo mil jaein ..
justujoo nahi rehti ..
zindagi ko jeene ki arzoo nahi rehti

Aetebar Tootey tu...!

Aetebar Tootey tu...!
Aetebar Tootey tu...!
Aetebar Tootey tu...!


Wo bhi aesay logon par
Jin ku apna ham janain
Jab bhi gham sey bojhal hon
Un ku mehrbaan manain
Aetebar Tootey tu.....
Aesay zakhm miltey hein
Jo kabhi nahin bhartey
Mehraban say'e jab
Ham sey rooth jaen tu
Aisi dhoop milti hey
Jis mein rooh jalti hey
Aetebar Tootey tu.....
Dil key aaieney ju hein
Wo bhi toot jatey hein
Aks wo ju apney hon
Wo bhi rooth jatey hein
Aetebar Tootey tu...
Aesay zakhm miltey hein
Aesi dhoop milti hey
Aisey aks khotey hein
Loog hans bhi lein shayad
Dil hamesha rootey hein
Aetebar Tootey tu...!

~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!

Udaasi

Udasi tum usay kehna
Hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Aur
Sada weran phirtee hey
Tera bichra howa
Ujhrey howay shehroon mein akser bhagta phirta hey
Akser jagta phirta hey
So nahi paya hey
Aur udasi tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi ho
Hum bhi apni RAAKH
Hathoon mein liay aur siskiyaan leti howi Tanhayee key baal kholay bayn kerty hain

Udasi! Tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi tenha
Yahan bhi hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Khala jo zaat ki her char dewari key ander hey
Khabhi bhi bher na payee ga
Yahan bhi her sada Weeran phirty hey
Udasi tum usay kehna
Udasi tum usay kehna!

Rastoon ki marzi hay !!

Rastoo Ki Merzii Hai
bay zameen logoon ko ...
bayqrar ankhoon ko ..
bad naseeb qadmoon ko
jis traf bi lay jain ...
________________________Rastoon ki marzi hay !!

bay nishaan jazeroon per
bay guman shahroon main...
bay zuban musaafir ko ..
jis traf bi Bhatka dain ...
___________________________Rastoon ki marzi hay !!


rook lain ya Barhnay dain ...
tham lain ya girnay dain ..
wasal ki lakeeroon ko ....
tore dain ya milnay dain
________________________Rastoon ki marzi hay !

Kisi Ko Al-Widah Kehna,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Kisi Ko Al-Widah Kehna,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
kisi ko al-widah kahna bohat takleef daita hai
umeedain toot jati hain
yakeen pay bay yakeeeni ka kohar kuch aisa charta hai
dikhai kuch nahi daita sujhai kuch nahi daita
dua kay lafz honton pay musalsal kapkapatay hain
kisi khawahish kay andaishay zahan main dor jatey hain
gumaan kuch aisa hota hai kay jaisay mil na pain gay
yeh gahray zakhm furkat kay kisi say sil na pain gay
kabi aisa b ho ya rab !to duaaain man laita hai
tu koi mojaza kar day tu aisa kar b sakta hai
mairay hathooon ki janib daikh inhain to ghar b sakta hai
judai ki ye teekhi dhar diloon ka khon karti hai
judai ki aziat say maira dil ab b darta hai
judai do ghari ki ho to koi dil ko samjay
judai char pal ki ho to koi dil ko bahlay
judai umar bhar ki ho to kia chara karay koi
kay ik milnay ki hasrat main bhala kab tak jiaay koi
mairay MOLA karam kar day tu aisa kar b sakta hai
mairay hathoon ki janib daikh tu in ko bhar b sakta hai

Kiyaaa Gilaah Kronnnnnnnnnnn

Kiyaaa Gilaah Kronnnnnnnnnnnn
Meri Ajab Hai Zindagi kisi se kya gilaa karonnn......
Taqdeer roth jaye tu merey khuda mein kya karonnnn,,
Halaat Ne Naseeb Mein Ghum Bhar Diye Hein Is Kadar.....
Na Manzlon ki kuch khabar mein Karwaan Kya karonnnnnnnnn.,,,
MiL jaye Dobney pe bhi Akhir tu Ik Sahil kahiin....
Toffaan Ki hai Arzooo Tofaan ki Dua karonnnn.....
Manzil ki Thi Talaash tu Gard-e-Safar Mili Mujhe....
Ankhein Barass Pari meri Kali Ghataaa kya karonnnnnnn

k chand tanha khila raha meray aasman say zara paray

k chand tanha khila raha meray aasman say zara paray
meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray
teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say
main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray
kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi
meray lafz pooray tou thay magar thay samaa'aton say zara paray
tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar
meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray

Kiyaaa Gilaah Kronnnnnnnnnnnn

Kiyaaa Gilaah Kronnnnnnnnnnnn
Meri Ajab Hai Zindagi kisi se kya gilaa karonnn......
Taqdeer roth jaye tu merey khuda mein kya karonnnn,,
Halaat Ne Naseeb Mein Ghum Bhar Diye Hein Is Kadar.....
Na Manzlon ki kuch khabar mein Karwaan Kya karonnnnnnnnn.,,,
MiL jaye Dobney pe bhi Akhir tu Ik Sahil kahiin....
Toffaan Ki hai Arzooo Tofaan ki Dua karonnnn.....
Manzil ki Thi Talaash tu Gard-e-Safar Mili Mujhe....
Ankhein Barass Pari meri Kali Ghataaa kya karonnnnnnn

sath dil k chale dil ko nahi roka humne

sath dil k chale dil ko nahi roka humne
jo na apna tha usay toot k chah k humne
ek dhoke main kaati umer hamari sari
kia batein kisay paya kisay khoaya humne

Haath uljay huay raysham ma phansaa bathay han

Haath uljay huay raysham ma phansaa bathay han
Ab btaa konsay dhaagy ko juda kiss say karain

wooh ik shaksh joh raehtha hai khushboon ki tarah

wooh ik shaksh joh raehtha hai khushboon ki tarah
ausi ko dhoond rahi hoon pagaloon ki tarah

meray kalam nay baray pyar say likah hai tujay!
tuh haraf haraf may shamil hai khushboon ki tarah

is dil ka kaha manooo

is dil ka kaha manooo...ik ehsan kar doo
ik beman se hansi mere naam kar doo

Aansoo ko

Aansoo ko aankhoo ki dehleez per laya na maroo
apne dil ki halat kissi ko bataya na karoo

Taira dard tha teri yad thie

Taira dard tha teri yad thie
mian jahan raha mian jahan gaya

mera din toh yunhi guzar gaya
junhi shab hui mian bikhar gaya

is aber ka meray yaar say
bara milta julta mizag tha

khabhie toot k baras parra
kabhie rukha sa guzar gaya.

Mujhsey Keh Kar Gaya Koi,

Mujhsey Keh Kar Gaya Koi,
Ki Kuch Hi Der Mein Laut Aaonga,
Thoda Sa Intzaar Karlo,
Aakar Bahut Der Tak,
Tere Sey Mil Kar Jaonga..

Ab Rokta Bhi Tau Kaise Mai Usey,
Jaakar Lautne Ka Vaada Jo Kiya Tha Usney,
Jisey Sun Kar Mai Rok Na Pao Usey ,
Uss hi Baat Ka Tau Laalach Diya Tha usney..

Ab Hum Tau Iss hi Intzaar Mein Baithey Hai,
Kay Kab Wo Laut Kar Aayega,
Mere Saath Der Tak Baith Kar,
Kab Wo Apna Vaada Nibhayega...

Ab Tau Subah Se Shaam Hone Ko Aayi Hai,
Pata Hai Tu Nahi Aayega Ab,
Fir Bhi Tujhe Dekhne Ka Intzaar,
Meri Aankhon Ko Ab Tak Hai,
Teri Aawaz Sunne Ka Intzaar,
Mere Kaano Ko Ab Tak Hai,
Tu Apna Vaada Nibhayega,
Ye Aas Mere Zehen mein,
Ab Tak Hai....

Wafa Karna Tau Aashiqo Ki Fitrat Ki

Wafa Karna Tau Aashiqo Ki Fitrat Ki
Sabsey Pehli Nishaani Hoti Hai....

Jisey Dil Chahe Usko Har Khushi De Paana,
Aashiqo Ke Liye Garv Ki Baat Hoti Hai....

De Paaye Har Wo Khushi Apne Pyar Ko,
Jiski Wo Inayat Karta Ho,
Yahi Tau Har Aashiq ki,
Sabse Pehli Koshish Hoti Hai....

Dil Nahi Jaan Paata Kya Hai Dil Mein
Yahi Tau Aashiq Banne Ki,
Sabse Badi Nishani Hoti Hai....

Kisi Ko Khush Dekhkar Sukoon Paana,
Kisi Ke Saath Do Pal Guzar Kar,
Puri Zindagi Jee Lena,
Uss Ek Insaan Ko Apni Duniya Bana Lena,
Hi Tau Ek Aashiq Ki Pehchaan Hoti Hai....

Yu Tau Har Aashiq Bhi Wafa Ki Umeed Rakhta Hai,
Magar Wafa Ki Jagah,
Bewafaai Milna Hi Tau,
Ek Aashiq Ki Nakaamyaabi Aur Badkismati Ka,
Sabse Bada Suboot Hoti Hai....

Teri Duniya Mein Meri Koi Kami na thi,


Teri Duniya Mein Meri Koi Kami na thi,
Par Mujhay tau Har Pal teri Kami Khalti rahi,
Zindagi ke Har Mod Par teri Yaad Satati rahi,

Maine tau Har Subah Aankhen Khulne par,
Tere Masoom Chehre ko Dekhne ki Aarzoo ki thi,

Jab bhi Mann Udaas hua,
Tujhsay Milne ki Aarzoo ki thi,

Mai tau Har Pal Tere Saath Guzarna Chahta tha,
Par Tu hi Mere Saath ko Kabhi Apna na saki.....

Maine tau Mere Dil ki Chahat ko ,
Apni Shayari mein Likhkar,
Tere Saamne Pesh ki thi,
Par Usay bhi Tu kabhi Samajh Na Saki,
Aur Meri Har Chahat ko,
Ek Sapne ki tarah Todti rahi......

Na Jaane kyu har Pal,

Na Jaane kyu har Pal,
Zindagi Mujh par Hansti si hai,
Maano Jaise Mujhse koi Gunah hua ho,
Kisi se Pyar karne ki Saja Mujhe Mil rahi ho,

Na Jaane kyu har pal,
Meri Saanse Dil mein Chubti si hai,
Maano Jaise kisi ka Intzaar kar rahi ho,
Kisi se Milne ko Beqarar ho,

Na Jaane kyu har pal,
Dil ko ek kami Lagti si hai,
Maano Jaise kisi ke Saath Mil Jaane ki Tamanna ho,
Kisi ke Pyar Mein kisi ko Pa Lene ki Zidd ho.....

Bahut Din hue Hum Kuch Likh nahi paaye,

Bahut Din hue Hum Kuch Likh nahi paaye,
Jaise Aapke Chehre ko Nihaar nahi paaye,

Humne Tau yahi Socha tha kay,
Har Pal Aapke Chehre ko,
Apni Shayari Say Nihaara Karenge,
Aapki Khoobsurati ka Muqabala,
Apni Shayari Say Kiya Karenge,

Isiliye Tau Hum har roz,
Aapke Baare Mein Kuch Likha Karte hai,
Aapki Khoobsurati Ko Hara sake,
Aise Shabd Banane ki Koshish Kiya Karte hai,

Pehle Tau Yahi Lagta Tha kay,
Humare Shabd Aapke Chehre ko,
Bakhubi Bayan Kar Dete hai,
Par Ab Tau Jaise,
Hume Koi Shabd hi nahi milte,
Aapke Chehre ko Bayan kar sake,
Wo Khoobsurat Alfaaz nahi milte,

Kitna Dhoondte hai un Shabdo ko,
Jo Aapki Khoobsurati Ko Bata sake,
Par Hume Tau Aise Shabd hi nahi mlte,
Jo Aapki Khoobsurati Mein Chaar Chaand Laga sake.

Kisko Khabar thi ki,

Kisko Khabar thi ki,
Mai Har Pal Ro raha tha,
Har Lamha Mera Dil Toot raha tha,
Meri Tanhai Mujhe Har Pal Khal rahi thi,
Har Pal Meri Duniya Ujad rahi thi,


Kisko Khabar thi ki,
Mere Dil Mein Koi PaNaH Le raha tha,
Apni MoJuDaGi Ko Meri Jarurat bana raha tha,


Kisko Khabar thu ki,
Jarurat Bana Kay Khud ko Meri,
Koi Mujhse Door Hona Chahega,
Juda hokar Mujhse koi,
Meri Saanse Cheen le Jaayega.....

Ae kaash kay Hum Tujhey Bhula paate,

Ae kaash kay Hum Tujhey Bhula paate,
Yaadon se Apni Tujhey Hata paate,

Dil mein basey Tere Aashiyaane ko,
Kaash hum Ujaad paate,

Har Pal ki Teri Judaai ko,
Kaash Hum Mita paate,

Apni Gumnaam Raaton se,
Un Dard bhare Ashko ko Kaash hum Poch paate,

Tere Dil se Judi Apni Saanso ko,
Kaash Hum Rok paate,

Tere Saath Bitaye har us Haseen Lamhe ko,
Kaash Hum Bhula paate,

Is Begerat Zindagi se,
Kaash hum Khud ka Naam Mita paate,

Dilli- Tamanna Tau Humari bhi yahi thi,
Kay Tujhse Apna Rishta Tod de,

Par Kaash Tujhse Door hokar,
Hum Apne Dil ke saath saath ,
Tera Dil bhi Tod paate......

Zindagi mein Ye Pal milte kyun hai,

Zindagi mein Ye Pal milte kyun hai,
Tanhaiyo mein hi Ye DARD Panapte kyun hai,

Jo Hume Mil nahi sakte,
Unhi sey Ye Dil Lagte kyu hai,

Sapne poore nahi Hote kisi ke,
Tau fir hume Ye Dikhte kyu hai,

Dil-O-Jaan sey Chahat nahi milti kisi ko,
Ye Jaante hai Hum phir bhi ise Paana Chahte kyu hai,

Pyar ke Do din baad hi Bewafaai mil Jaati hai Aashiqo ko,
Ye Jaante hai sab fir bhi Pyar mein Padte kyun hai,

Unsey Pyar karna Khata thi humari,
Apna Dil unhey Saup dena Bhul thi humari,
Har Pal unke baare mein Sochna bhi Galti thi humari,
Ye sab kuch Maante hai hum,
Fir bhi Dil ye khata dohrana chahta kyun hai....

Humne Socha Na Tha Kabhi Kay,

Humne Socha Na Tha Kabhi Kay,
Hume bhi koi Apna Banayega,
Apne Dil Mein Humara Aashiyana Basayega,
Labo Pe Har Pal Humara hi Naam Sajayega,
Yaadon Mein Sirf Mera hi Chehra Dekhna Chahega,
Tanhaiyo Mein Hume Apna Saathi Banayega,

Humne Socha Na Tha Kabhi Kay,
Hum Par bhi Koi Apni Jaan Chidkega,
Apni Saanso ko Meri Saanso se Jodna Chahega,

Humne Socha Na Tha Kabhi Kay,
Hum Par bhi Koi Iss Kadar Mar Mitega,
Humse Milne ko koi Kabhi Tarsa Karega,
Apni Duniya keh kar koi Hume bhi Pukarega,

Humne Socha Na Tha Kabhi Kay,
Itna Haseen Pal Humari Zindagi Mein bhi Kabhi Aayega.....

Humse Muh Fer Kar Chala Gaya.....

Zindagi Mein Ek Pal Aisa Bhi Kyun Aata Hai,
Jab Koi Kisi Ko Apna Bana Jata Hai,
Kuch Lamhey Saath Bitakar,
Fir Kahin Door Chal Jata Hai,
Pehle Tau Kehta Hai Ki Umr Bhar Saath Rahunga,
Fir Kisi Lamhe Mein Tanha Chod Jata Hai,

Jab Khush They Hum Uskey Beger,
Tau Hume Aur Khusiyan Deta Chala Gaya,
Aur Aaj Jab Aadat Ho Gayi Un Khushiyon Ki,
Tau Khushiyon Ke Saath Saath,
Khud Bhi Humsey Door Chala Gaya,

Pehle Tau Kaha Karta Tha Kay,
Kuch Bhi Maang Ke Dekh Lo,
Tumhari Har Farmaish Ko Puri Karunga,
Aaj Jab Ushi Ko Maang Liya Tau,
Humse Muh Fer Kar Chala Gaya.....

Buhat takleef hoti hai

Buhat takleef hoti hai..
ke jis se pyaar kartay hon
jisay dunya samajhtay hon
wohi anjaan betha ho
nahi jazbay samajhta ho
Buhat takleef hoti hai
kabhi jo paas se guzray
kisi ke hath ko thamay
kisi ka humsafar ban ke
woh dekhay bhi nahi mur ke
Buhat takleef hoti hai...
woh sub kuch jaan jaay tu
ke lub tum khol paay tu
magar saray jahan main woh
tujhe tamasha banay tu
BUHAT takleef hoti hai
Buhat takleef hoti hai

Hum itnay “ANMOL” na thay….

ankhon me jo tehreerain theen!
honto pay vo bol na thay…

Hum thay us k pyar k aashiq!
Bas hathon mein kashkol na thay…

Hum ne us ko toot k chaha!
ye us ka haq tha lakin…

Wo b hum ko toot k chahey!
Hum itnay “ANMOL” na thay….